संदेश

नवंबर 1, 2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

चित्र
Shri Krishna or Balram ji apne chhote chhote paav ko kichar me ghasitte hua chalte the. chalte samay kamar ke ghungharu madhur dhvani me aavaaj karne lagte the, jise sunker dono bhai bahut prasan ho jate the. kabhi kisi bachhare ki puchh pakar lete the, chhurane ki kosis karne par vah in dono bhaiyon ko bahut dur tak le jata tha, Kabhi kisi janvar ki sing to kabhi chhote janvar ke upper beth jate the. kabhi Talvaar uthaa lete to kabhi agni ko chhune ka paryatn karte the. kabhi kuaan ke paas chale jate the, rasi se bandhi kalsi se kuaan se pani nikalne ki kosis karne lagate the. bhari hone ke karan kalsi kuaan se bahar nahi aa pati thi. kabhi kisi janvar ki jib pakar kar khich lete the. kabhi mor ke dekha dekhi khud bhi nachane lagte the to kabhi uski bahut sunder pankh ko pakarne ko kosis karte the. kabhi kisi janvar ya pakshi ke aavaaj ki nakal karte the.