संदेश

अक्तूबर 4, 2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

trinavart Uddhar part two

Pandu desh me shastraksh name ka ak Raja rahata tha, jisne apni patniyon ke sath jal Vihar karte samay, aachanak Durvasa ji vahan aa gye the. parnaam nahi karne ke karan Rakshs hone ka abhisap or Prabhu ke duvara Uddhar hone ka vardan mila tha.

Trinavart Uddhar

Ak din yasoda ji Prabhu ko pakari hui thi, aachanak Prabhu bahut bhari ho gye the, jiski vagah se unko Dharti par sula di. Trinavart name ka ak Raksash Aaya tha. jisne Dhul or Balu ki musladhar Varsha karne laga is karan Brajpur me bahut jyada andhera ho gya tha. iske alava us dust ne bahut bhayankar aandhi tufaan chalaaya. isi ka labh uthakar vah Krishna ko Aakash me lekar chala gya tha. Prabhu usse bhi adhik bhari ho gye the. vah Danav Bhagavan ko unke bharipn ki vagah se chhorna chahta tha. Prabhu ne gala dabakar use markar mukti pradaan kiyein.

Prabhu ka Ganam din manana

Pura Brajpur ki safai karke sugandhit jal ka chhirkav kiya gya. sabhi logo ko bulaaya gya tha.  chhote ko uphar ttha bare se aasirvad liya gya tha. jagah jagah bahut sunder sunder kai parkar ke kalash rakha gya  tha,motiyon ki chouk purai gayi, bhanti bhanti ke vandanvar isthan isthan par bahut sunder lagaya gya tha. ghar ghar maniyon ki diya glaaya gya tha  apsarayan Nach rahi thi, Gandharv git ga rahe the, Devgn Prabhu ke sadguno ka gungan kar rahe the. krishi,muni log bhi istuti karne lage the. yasoda nand ji ke ghar bhi Nach Gan ho raha tha. nand ji ke ghar krishi muni Prabhu ko aasirvad de rahe the. Brahmano ko atulniya bahut jyada dhan sampati di gayi thi. puja paath karvaya gya tha. Mangal geet ke baje bajvaye gye the. parlok me bhi dudumbhi baj rahi thi. Fulon ki barsaat karne lage the swarg se.

Prabhu ka Pahala Ann Grahan Utsav

Nand ji ne jin khane vale pdartho ke Naharo or parvat ka nirman karvaye the unme sabhi log masti kar rahe the, sath hi sath khane ke liye bhi inme se le rahe the.