संदेश

दिसंबर 19, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Raas Lila Rahsya

Jab koi Jiv apni pratyek indriyon se Shri Radha Krishna ki bhakti karta he. Aankho se darshan karta he,Kaano se Bhajan ya Kathaa sunta he,tuvachaa se unke charno ko chhuta he,mukh se name jap karta he ya bhajan gaata he,Mun se chintan karta he,Haato se prabhu ko bhog arpan karta hai,pero se chalkar mandir jaata he_ is parkaar ang-ang se bhakti karne par Prabhu rom rom bas jaate hein, prtyek indriyon me prabhu nivaas karne lagte hain. Aadhyaatmik dhvani (Murli ki aavaaj) sunaai dene lagti he. Jiv ise sunkar sansar ke saare kaam, sabhi sage-sabhandhiyon or Dhaarmik kitaabo me likhi hui dhaarmik karam-kando ko ignore karne lagta he. (jis parkar Gopiyon ne kiya tha) Parivar duvara asi bhakti nahi karne dene ke karan apne Ist Dev se dur hone ke dukh ke karan un Prabhu ka dhyaan karna saral ho jaata hai. (Isi pakar Gopiyon ke parivaar vaalo ne roka tha, Prabhu virah dard ke karan unka dhyaan karne par Gopiyon ka Bhoutik sarir nast ho gya tha) dhire-dhire isthul sarir (Pancho tatvo se bana sa

Shri krishna ko dhundhate samay Gopiyon ko Narayan ka darshan

चित्र
Jab Shri Radha ji or gopiyan Shri Krishna ko dhundha rahi thi, tab prabhu Brajyuvatiyon ko apne paas aate dekhkar, Narayan ke rup me aa gye the. Gopiyan unhe dekhakar dharam samaghkar pranaam ki thi. Shri Radha ji jese hi Narayan bane hua_ shri krishna ke paas aana suru karti he, vese hi prabhu apne aap hi Shri Krishna rup me aa jaate hain. kyunki Shri Radha ji ke saamne Govind ka asvarya vaala rup nahi rah pata he_ kyunki ve Prabhu ki Pram-Aanand ka sabko vitran karne vaali shakti hein. Shri Kishori ji ke nikat aane se pahale hi unke pritam antardhayaan ho jaate hain.