Shri Krishna ki Mathura jaane ki story
Jab Gopiyon ko pata chala ki humare kanha mathura jaa rahe hein, tab ve sab itni dukhi hui- itni dukhi hui ki garam saanse chalne lagi thi, cheharaa kumhalaa gya tha . Chunri ke khisakne,kangan ke girne or jure ya choti ke khulne ka bhi gopiyon ko pata nahi chala tha, apne sath- sath saare sansaar ko bhulkar, prabhu ke baare me hi, keval soch rahi thi . Shri Krishna ka prem,unki muskaan,dil ko chhune vaali pyaari- pyaari baate,prabhu ke duvara unke sath hansi- majaak karna,latkili chaal,bhaav-bhangi,chitvan,udaarta or saahas se bhari lilaon ka chintan karne lagi thi. Gopiyan kahane lagi thi ki dhany ho vidhaata_ tum sab kuchh vidhaan to karte ho lekin tumme dayaa bilkul bhi nahi hai, pahale to tum jagat ke jivon ko souhaard or prem se paraspar mila dete ho,ak dusre ke sath jor deto ho,unhe aapas me ak kar dete ho,unki aasha-abhilaasha puri bhi nahi ho paati,ve tript bhi nahi ho pate hein, tum unhe alag kar dete ho