संदेश

Putna Sadgati लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

putna Uddhar part six

Prabhu ne putna ka Dudh pite samay ankho ko band kar liye the, iske kai karan bataya gya he. Prabhu ki najar putna par parti to uska asli rup samne aa jata, Prabhu ke udar me bahut sare brahmand he jisme prani rahte the, unko yah samjhane ke liye ki vish ka asar nahi hoga. putna gopon ke balkon ko bhi  marna chahati thi Prabhu soche jo mere bhakt ka bura sochta he uska me mukh nahi  dekhta. Prabhu netra band karke mano dhyan kar rahe ho. Bhagavan ke aankho me Surya Chandra nivas karte hein, un logo ne soche ki hm log n ise Chandra lok jane denge n hi Surya lok. Prabhu aanke band karke mano shivji se prathna kar rahe he aapko ta vish pine ki aadat he aap piyo me to yahan makhan, Dahi,misri khane aaya hun.

putna Uddhar part three

Putna ke chita se Chandan, Aguru, kasturi jesi MN Bhavan sugandh aa rahi thi, jo aanand dene vali thi, ho bhi kyun nahi Prabhu ne hi to uske pran piye the,use chhua the Prabhu ke Dham Golok se bhahut bhahut sunder viman putna ko lene aaya. Divya sharir pakar Prabhu ke alokik Dham me chali gayi.

Putna Uddhar part four

Raja Bali ki Ratna Mala name ki putri thi. jis samay Bhagavan vaman unke yagya me aaye, Atyant sunder rup dekhkar Ratna Mala Sochi ki yadi yah mera putra hota to ise Dudh pilati. Prabhu ne kha asaa hi hoga, lekin Ratna Mala yah sun nahi payi thi. jab prmatma vaman ne bali se sab kuchh le liye tab uski putri ne gusse me boli ise to Dudh nahi Vish pilana Chahiye. yahi Ratna Mala agle ganam me putna bani.

putna Uddhar part five

Yasoda ji, Rohini ji or gopiyon ne Sochi ki, itni der us vashal se bhi Vishal Rakshasi ke chhati par latke rahe, khin asaa na ho ki us dusta ki nakratmak urja se bad me ise hani n ho jaye, isliye Raksa vidhan ki vyvastha ki gayi. sabse pahale kapila gay ki puchh ko tin bar sabhi ango ke charo taraf ghumati he.,gay ke mutra se nahalaya gya, Gay ki raj ko pure sarir me lagaya gya. Gobar ka Tilak lagaya gya. kale sarso ko kisi vastu me rakhkar  Agni me jalakar Nagar utari jati he. pure deh me sup chhuaya jata he. Vishnu kavach ka path karti hein. Gopiyon ne aachaman karke Aj aadi eleven bij mantro se apne apne sharir me alag alag angnyas or karnyas karti he. Prabhu ke sharir me bij nyas karti hein.

Putna Uddhar part two

Prabhu putna ke Dudh ke sath sath uske pran bhi pine lage, jiski vagah se us dusta ke sharir ke rom rom me,deh ke ang ang me bahut jyada dard ho raha tha. hat,per jor jor se patkne lagi, chhodh de chhor de chilane lagi, pasine se lat path ho jati he. dono ankhe ulat jati he, use itni itni pira hoti he ki vah apna mayavi gyan bhul jati he. apne asli rup me aa jati he. uski bhayankar aavaaj se phar, Dharti, Grah, Nakshtra ke sath sath pura Antriksh dagmagane laga,sato patal or samundra bhi kapne laga, bahut se log vraj paat ki aasanka se prithvi par gir gye. achanak kisi adrisya Shakti ne use upper uthayi. kuchh hi second me Gop prasado, Braj upvan par kar jati he. kans raj ke Vishal,bahut sunder bagicha uske dvara nast ho jata he. vriksho ko kuchalte hua vah ase isthan par girti he jhan keval svere hi goplog Gayon ko duhate hein. nirjan van ke bich me bina vriksh ki samtal bhumi parti he jhan pratha kal hi Gokul ki sabhi Gay akatra hoti hein. Gop unhe duhate hein .yah putna ke upper urn

Putna Uddhar part one

Ak din Kans apne sone ke sinhhasn me betha hua tha achanak use aakashvani sunai di ki Devki ka satva grabh nast nahi hua tha. use Rohini ji ke grabh me daal diya tha. iske alava Devki ki aathvi santan ko yasoda ji ke pas rakh aaye. unki kanya ko yahan le Aaye. itna sunte hi kans ne putna ko Gokul me bheja. Antriksh me rahne par bhi putna ki prchhai Gokul ki Dharti par dikhai de rahi thi. jiski madad se Mantra padhkar chalaye gye Astra Shastra se marne ki sambhavna he. is Divya or Pvitra Dharti par uski maya kam karna band kar deti he. is samasya ko dur karne ke liye usne Maya adhisthtri devi ko yad ki. jo yogmaya ki hi ak ans he. apni maya Shakti prapt karne ke bad Brajpur ki dhara par aayi itna itna sunder rup banaya ki vahan ke logo ne socha ki swarg se koi Devi yasoda nandan ka darsan karne aayi he. MN me usne socha ki is Nagar ke raste se hokar me bahut bar gujri hun phir bhi yah meri dristi se bacha raha. thik sat din phale bhi me yahan aayi thi phir bhi meri nagar idhar nahi pari