संदेश

सितंबर 6, 2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Putna Uddhar part two

Prabhu putna ke Dudh ke sath sath uske pran bhi pine lage, jiski vagah se us dusta ke sharir ke rom rom me,deh ke ang ang me bahut jyada dard ho raha tha. hat,per jor jor se patkne lagi, chhodh de chhor de chilane lagi, pasine se lat path ho jati he. dono ankhe ulat jati he, use itni itni pira hoti he ki vah apna mayavi gyan bhul jati he. apne asli rup me aa jati he. uski bhayankar aavaaj se phar, Dharti, Grah, Nakshtra ke sath sath pura Antriksh dagmagane laga,sato patal or samundra bhi kapne laga, bahut se log vraj paat ki aasanka se prithvi par gir gye. achanak kisi adrisya Shakti ne use upper uthayi. kuchh hi second me Gop prasado, Braj upvan par kar jati he. kans raj ke Vishal,bahut sunder bagicha uske dvara nast ho jata he. vriksho ko kuchalte hua vah ase isthan par girti he jhan keval svere hi goplog Gayon ko duhate hein. nirjan van ke bich me bina vriksh ki samtal bhumi parti he jhan pratha kal hi Gokul ki sabhi Gay akatra hoti hein. Gop unhe duhate hein .yah putna ke upper urn

Putna Uddhar part one

Ak din Kans apne sone ke sinhhasn me betha hua tha achanak use aakashvani sunai di ki Devki ka satva grabh nast nahi hua tha. use Rohini ji ke grabh me daal diya tha. iske alava Devki ki aathvi santan ko yasoda ji ke pas rakh aaye. unki kanya ko yahan le Aaye. itna sunte hi kans ne putna ko Gokul me bheja. Antriksh me rahne par bhi putna ki prchhai Gokul ki Dharti par dikhai de rahi thi. jiski madad se Mantra padhkar chalaye gye Astra Shastra se marne ki sambhavna he. is Divya or Pvitra Dharti par uski maya kam karna band kar deti he. is samasya ko dur karne ke liye usne Maya adhisthtri devi ko yad ki. jo yogmaya ki hi ak ans he. apni maya Shakti prapt karne ke bad Brajpur ki dhara par aayi itna itna sunder rup banaya ki vahan ke logo ne socha ki swarg se koi Devi yasoda nandan ka darsan karne aayi he. MN me usne socha ki is Nagar ke raste se hokar me bahut bar gujri hun phir bhi yah meri dristi se bacha raha. thik sat din phale bhi me yahan aayi thi phir bhi meri nagar idhar nahi pari