संदेश

नवंबर 22, 2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Golok part one

Golok dhaam vekunth se fifty crore yozan upper ki taraf Radha Krishna ki pram Shakti se isthit he. vahaan virjaa name ki ak nadi bahati he jiskaa tat sudh isphtik Mani ke jese safed tha,iske chaaro or ki bhumi sabdo se pare chamakdaar or Manbhaavani thi. Mani,maanikya or utkrist Mani ratno ki khaano se sushobhit tha, kahin kahin par to mungo ke nanhe nanhe poudhe uge hua hein. is Nadi ko paar karne par satshring name ka parvat he jiski choraai one lakh yozan,lambaai ten crore yozan,unchaai one crore yozan or sabse upper ki chouras bhumi fifty crore yozan thi. yah parvat golok ke chaaro taraf divaar ki tarah he. isike shikhar par ten crore yozan tak vistrit raasmandal he. anek bahut bahut sunder bagiche,paarijaat vriksh or kalp vriksh he. three crore Ratno se banaa mantramugdh karne vala bhavan he, jiski rakshaa me lakho gopiyan rahati hein. Partyek Mahal me Ratno se nirmit Bed laga hua he. Ratnmay Dipak jalte hein. Soch se pare sukh suvidhaa ke itni itni chige hein jinhe vaani me bataa

Golok part two

Raasmandal ke aane jaane vaale maarg me anek bahut bahut sunder kunj kutir banaa hua he, jinme bhog ki sabhi vastuan thi. partyek duvar par manohar vandanvaar lagaayaa gya he. in sabhi kunj kutir me Fulon se nirmit Bed lagaa hua he. chaaro disaon ke duvar par pharedaar paharaa de rahe hein. Krishna ki sevaa karne vaalon ke fifty crore Mani ratnmay Mahal he,paarsadon ke ten crore Mahal jo amulya Mani ratno sebanaa he, inme jo parmukh hein unke one crore Bhavan he, jiski sundartaa ke liye sabd hi nahi he. Radha ji ke sevikaaon ke thirty two crore Aasharam he, jo durlabh chigon se nirmit he, iske alava bhi anek bahut bahut sunder Mahal he jo anya kisi lok me nahi he. un bhavano ke shikhar par bahumulya ratnmay Mangal Kalash rakhaa hua he. divaaro par mahin vastron ke aavaran pare hua hein. vahaan par bahut Visual Akshay vat he jo five yojan tak felaa hua he,jiski lambaai ten yojan he, anek tanaa or shaakhaa hein,laal laal pake Falon se vriksh bharaa hua he. ratnmayi vedikaayan vriksh ki s

Golok part three

Iske baad raajmaarg aataa he, jiske dono or laal maniyon se adbhut rachanaa ki gayi he. indra nil,hire,or sone aadi se bani anek vedikaayan hein. dono taraf ratno se banaa aaraam karne ke liye Bhavya isthaan ka nirmaan kiya gya he. dono or ke kinaro par kele ke Paton ke anek khambhe or sabhi sondarya ko apne me samaane vaalaa vandanvaar visharaam Room ke duvaron par laga hua he. bahut sare mangal kalash ko rakhaa gya he jinme man bhaavan Fal, Ful sahit patein or shaakhaa hein. sugandhit jal ka chirkaaon kiya gya he. vahaan bahumulya Mani Ratno se sopaano ka nirmaan kiya gya tha. kul milaakar sixteen darvaajaa tha, jo divya sukshm vastron,ratnmay bistar lagaa hua tha,ratno se bana hua sisa laga hua tha, Fulon ki maalaaon se sajaayaa gya tha. Charo or khaain thi. manlubhavan parkote se ghiraa hua he. partyek duvar par nigraani karne vaale hein.

Golok part four

Iske baad Radha ji ka Aasharam he jotwelve kous tak felaa hua he. isme hundred Mandir, vahaan anek Fulvaari,kalpvriksh or paarijaat ke vriksh hein. bahut sunder parkote se ghiraa hua he,khaai he, saat darvaajaa par anek adbhut chitra bana hua he, iske sath sath anek Ratnmay vedikaayan bani hui hein. kram se bane hua sato duvaar ko paar karne par Radha ji ke aasharam ke sixteen darvaajaa aataa he. anek, sondrya ki praakasthaa se pare kalash rakhaa hua tha. iske alava bhi anek bahut bahut bahut bahut sunder isthaan he jise sabdo me bataanaa asambhav he. anek durlabh bahumulya padaarth he jo anya kisi lok me nahi he. vahaan bahut sari Gopiyan Gaakar, Nachkar,sangit yantra bajaakar Radha Krishna ke Divya sadguno ka gaan kar rahe the. iske baad Radha ji ki sakhiyon ke aasharam aataa he thirty three sakhiyaan hein.