Shri Krishna ki khelne ki Lila
Shri Krishna or unke mitr, bhramar tthaa koyal ki nakal karne lage the. aakaash me urte hua pakshiyon ki sachal chhaaya dekhakar, unhe nya hi khel hath laga tha. ve us chhaya ka hi anusaran karte hua, chhaya par apne charan rakhate hua, chalne ki kosis me, parbal veg se, bhaagne lage the. bich me sarovar aa jaane se aage nahi jaa paaye the. Prabhu ki Divya-ati-divya sugandh ki mahak pakar, Hans, Bagule or moro ka samuh shri Krishna ke paas aa gya tha. sabke sab in pakshiyon ki nakal karne lage the. jab Prabhu mor ki dhekhadheki naach rahe the, tab Bandaron ka samuh, Prabhu ka nritya dhekhane niche aaye the, jinse darkar sab pakshi bhaag gye the. Gop baalkon ko vaanro par krodh aa jaata he ki in bandaro ne hamaare mitr ka nritya me baadha dali isiliye inko to sabak shikhaana hi parega. ye log bandaron se jhagraa karne lage the. bhagaane ke liye upper vriksh par chadh gye the. jab kapi samaaj bahut dur chala gya tab gop balak chen ki saans liye the. Gop baalako ka samuh or bandaro ka sam