संदेश

मार्च 20, 2022 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Krishna ki Kubja par kripa

चित्र
Mathura ke Raajmaarg se, chalte- chalte bich raaste me, ak yuvati, shri krishna,balram ji or gop baalko ko dikhaai di, jo chandan ka gaadhaa angraag, kisi bare bartan me, do chhote- chhote barte me laal or pile rang ka angraag or fulo ki mala lekar, kahin ja rahi thi. Uska mukh sundar tha, kubri hone ke karan dande ke sahaare, jhuk- jhukar chalti thi. Prem ras ka daan karne vaale govind uspar kripa karne ke liye, atyant prem se Shri Krishna usase puchhate hein ki sundari tum kon ho,yah chandan ka gaadhaa angraag or fulon ki mala kiske liye lekar ja rahi ho?kalyani hume sab baat sach sach bataao, is chandan ka angraag hume bhi do, asaa karne par, jaldi hi, tumhara param mangal hoga. Kubja boli me maharaj kans ki priy daasi trivakraa hun, kubri hone ke karan mughe kubja bhi kha jaata he,mere duvara teyaar kiya hua chandan ka anulepan bhojraaj kans ko bahut achhaa lagta he, sath hi sath vibhin parkar ke,alag- alag rango ke fulon ki mala teyaar karke bhi unko deti hun, aapko dekhne ke baad