संदेश

फ़रवरी 13, 2022 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Akrur ji ko Bhagvan Shri Krishna ke Divya rup ka Darshan

चित्र
Akrur ji ko Shri Krishna ki bahut chinta ho rahi thi, kyunki kans ne prabhu ko maarne ki yojna bana rakha tha, yadhpi ve jaante the ki Shri Krishna bhagvan he lekin unka prabhu ke sath chacha batija ka rista tha, ve is sambandh ke karan, utpan hua prabhu ke prati anuraag le karan, unka bhagvan hone ki baat bhul jaate the. Unke isi chinta ko mitane ke liye hi Bhagvan Shri Krishna unko Divya rup ka darshan karvaaye the. Prabhu asi lilayein karte hein ki kaliyugi manusya ka bhi man isme lage. Bhagvan Shri Krishna ka charitra or unki mun lubhavani lilayein madhurta ka mahasagar he jisko sunane,sunaane or padhane par bahut khushi milti he. Jab pratyaksh prabhu apni lilaon duvara sabko aanandit karne ke liye avatar lete hai tab unka anant sondary,madhurya,vibhutiyon or lilaon par sabki budhi mohit or mun prasann hua bina nahi rah pata hai. Shri Shukdev ji bolte hein ki idhar bhagvan shri krishna,balram or akrur ji ke sath vayu ke saman veg vaale rath par, savaar hokar, paapnaasini yamuna ji