Akrur ji ko Bhagvan Shri Krishna ke Divya rup ka Darshan

Akrur ji ko Shri Krishna ki bahut chinta ho rahi thi, kyunki kans ne prabhu ko maarne ki yojna bana rakha tha, yadhpi ve jaante the ki Shri Krishna bhagvan he lekin unka prabhu ke sath chacha batija ka rista tha, ve is sambandh ke karan, utpan hua prabhu ke prati anuraag le karan, unka bhagvan hone ki baat bhul jaate the. Unke isi chinta ko mitane ke liye hi Bhagvan Shri Krishna unko Divya rup ka darshan karvaaye the.
Prabhu asi lilayein karte hein ki kaliyugi manusya ka bhi man isme lage.
Bhagvan Shri Krishna ka charitra or unki mun lubhavani lilayein madhurta ka mahasagar he jisko sunane,sunaane or padhane par bahut khushi milti he.
Jab pratyaksh prabhu apni lilaon duvara sabko aanandit karne ke liye avatar lete hai tab unka anant sondary,madhurya,vibhutiyon or lilaon par sabki budhi mohit or mun prasann hua bina nahi rah pata hai.
Shri Shukdev ji bolte hein ki idhar bhagvan shri krishna,balram or akrur ji ke sath vayu ke saman veg vaale rath par, savaar hokar, paapnaasini yamuna ji ke kinaare pahuch gye the, vahaan un sabhi ne hath mukh dhokar, iska mitha paani piye jo markatmani ke jese nile rang ka tha sath hi sath pine me amrit jesa lagta tha.
Akrur ji rath me bethaakar, dono bhaiyon se aagya liye or nadi ke kund (Anant tirth ya brahma had) me aakar ve vidhipurvak isnaan karne lage the, uske baad dubki lagaakar gaayatri mantr ka jaap karne lage the, usi samay jal ke bhitar dekhate hein ki Shri Krishna or balram ji dono bhai ak sath bethe hua hai.
Akrur ji sochane lage ki be yahaan kese aa sakte hai? Unko to me rath par bethakar aaya hun,ab yahaan jal me kese aa gye hein, dono bhai jab yahaan he to rath par nahi honge, yah sochakar, unhone seer nikaalkar bahar dekhe tab rath par bhi dono bhai dikhai diye the, ve vichaar karne lage ki ak hi samay me do isthano par upasthit hona asambhav he, avasy hi mera bharam hoga,
Dusri baar dubki lagaane par bhagvan ki manmohak jhaanki ka darshan hua tha.
Ve dekhe ki Balram ji Shri shes naag ke rup me viraajman hein, arbo, kharbo kamdevon ke sondry, madhurya ko tiraskrit karne vaale bhagvan shesnaag ji ke godi me viraajmaan hein, anant suryon ki jyoti ka prabhaavshali mandal tha, shesji ke hajaar seer he or pratyek fun par mukut sushobhit he, kamalnaal ke samaan safed ujjaval sarir par nilaambar dharan kiye hua hein or unki asi sobha ho rahi he maano laakho shikharo se yukt safed rang ka kelaash parvat sobhaaymaan ho, shes ji ki godi me Shyam megh ke samaan ghanshyaam viraajmaan ho rahe hein, ve resmi pitaambar pahane hua hein. Bari hi shaant chaturbhuj murti he or kamal ke raktdal ke jese ratnaare netr he, unka sarir atyant Sundar tthaa paramaanand dene vaala he, unki madhur muskaan,chitvan mun ko chura leti he, bhohein sundar or naak bari hi sughar tthaa tanik unchi he, sundar kaan,gaal or laal hotho ki chhata niraali hi he, baahein ghutno tak lambi or hasht pusht he, kandhe unche or vaksh isthal me lakshmi ji ka nivaas isthaan he, shankh ke samaan utaar chadhaav vala sudol galaa,gahari naabhi,trivali yukt pet,pipal ke pate ke jese shobhit katipradesh (kamar) or nitamb(kamar se niche ka bhaag) ,haathi ki sund ke samaan jaanghe,sundar ghutne avam pindaliyaan (ghutne ke pichhe maansal hissha) hein,aidi ke uppar ki ghaanthe ubhari hui he or laal laal naakhun or anghuthe se divya jyotimy kirne fel rahi hai.
Chanran Kamal ki anguliyaan or anghuthe nayi or komal pankhuriyon ke jese sushobhit he,atyant bahumuly maniyon se jadaa hua mukut, kangan, baajuband, kardhani,gale me pahanaa hua haar,nupur or kundalo tthaa yagopavit se vah divya Murti alankrit ho rahi he, ak haath me kamal shobha pa raha he or shes tin hatho me shankh,chakr or gadaa,vaksh isthal par shrivats ka nisaan,gale me kostubhmni or vanmala latak rahi hai. Nand, sunand aadi bhagvaan ke paarshad_ apne suvaami, sankaadi paramrisi,parbrahma,mahadev,brahma aadi devta, sarvesvar,marichi aadi no brahman or prahlaad, naarad aadi bhagvaan ke pram premi bhakt,aatho vasu,sidh, chaaran,gandharv,rishi,muni or anya log seer jhukaakar bhagvan ke guno ka gaan kar rahe hein, ye sabhi apne param pyare prabhu samaghkar bhinn bhinn bhaavo ke anusaar nirdos vedvaani se parmesvar shri krishna ki estuti kar rahe the, sath hi sath lakshmi,pushti tushti,sarsuvati,kaanti,kirti( arthaart aisvary,bal,gyaan,dhan sampati,yash or veraagy) ye chh aisvary shaktiyaan, ilaa sandhinirup prithvi shakti,lila shakti,vidya or avidya jivon ko bandhan me daalne or mukti pradaab karne vaali bahari power or maya aadi anya taakat murtimaan hokar unki seva kar rahi he.
Bhagvaan ki yah jhaanki nirakhkar, akrur ji ka dil param aanand se labaalab bhar gya tha. Unhe param bhakti praapt ho gayi thi,sara sarir harsh aavesh se pulkit ho gya tha,netro se aanshu bahakar parmaatma shri krishna ke charn kamlo ko dhone lage the, fir uthkar bahut_ bahut sundar radha raman ji estuti kiye the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4