Shri Krishna Lila
Kaliya naag ko parivar sahit Ramnik Duveep me bhejne ke baad, Shri Krishna Yamuna Nadi se jese hi bahar aaye, sabhi bari bari se unko hridya se lagaane lage the. Mosam aanand daayak ho gya tha. Jo Per- Podhe vish se jal gye the, vo prabhu ki Amritmayi dristi se thik ho gye the. Raat me sabke sab Yamuna Nadi ke kinaare hi so jaate hein. aadhi raat ko kans ke duvara bheja gya Danav, chaaro taraf apni maya se aag laga deta he. Taap se sabki nind khul jaati he. ve sabhi apne kanha se yah sochakar Praathna karte hein ki Vipati ke samay, Vishnu Bhagavaan hi isme parvesh kar jaate hein, jiske karan yah apne sath sath sabhi ke praano ki rakshaa karta he. yahi sochakar sab log Shri Krishna se bachaane ki vinti karte hein . Radha Raman ke naam maatr mukh kholne par Agni bujh jaati he. Yamuna Nadi ka jal ab amrit ke samaan ho gya tha.