संदेश

Shri Krishna Daamodar lila लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Nalkubar or Manigriv ka Uddhaar

चित्र
Sampati ke Devta Kuber ke putron Nalkubar or Manigriv ko atyadhik dhan hone ke karan bahut jyada abhimaan ho gya tha, iske alaava Shiv ji ke Anucharon me inko bhi saamil karne se inka ghamand badh gya tha. ak din ye dono bhai kelaash parvat ke upvan me Apsaraaon ke sath vihaar karne ke baad, saraab pikar, Ganga Nadi me apsaraao ke sang Masti karne gye the, achaanak Devarshi Narad ji aa jaate hein, jo sadaa Hari kirtan karte rahte hein . kanyaaon ne sarmaakar apne apne kapre pahan liye the, prantu ye dono bhai Atul sampati ke ahankaar ke kaaran Narad ji ko pranaam nahi kiye the, iske alaava ye log yuvtiyon ko phir Mandaakini Nadi me krira karne ke liye bulaa rahe the. inka abhimaan dur karne ke liye hi inko Devarsi Narad ji ne vriksh yoni prapt hone ka abhisaap diye the.