संदेश

मई 9, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Kaliya naag ka pichhala Ganam

Suvaambhuv Manvantar me, Bhrigu vans me, Ved- Shiraa name ke Muni the, jo Vindhya Parvat par tapasya karte the. ak din Asv- Shiraa Muni bhi vahaan par Saadhana karne aaye the. ved shiraa muni unse bole ki Tapodhan tum anya isthaan par jaakar Tap kar lo, tab asv shiraa muni bole yah Bhumi n meri he- n hi tumhari he, yahaan Aadhyaatmik kaam karne ka adhikaar sabhi ka he, chunki yah Dharti Shri Vishnu Bhagavaan ki he, isiliye koi bhi tapasya kar sakta he. Baar- baar samjhaane par bhi ved shiraa muni nahi maane, tab asva shiraa muni ne unko yah kahakar saap yoni me jaane ka abhisaap diye ki tu naag ki bhaanti mukh se bina karan vish ugalta he, isiliye tu sarp ki yoni me chalaa ja sath hi sath tujhe Garur se Bhay prapt ho.  yahi aage jaakar Kaliya naag bane the. ved shiraa muni bhi kouvaa ki yoni me jaane ka abhisaap asv siraa muni ko diye the. Vishnu Bhagavaan Prakat hokar bolte hein ki tum dono hi mere bhakt ho, is karan praspar diya gye abhisaap vardaan me badal jaayega. jab me Shri Kris

Shri Krishna ka kaliyanaag ke Fn Pr nachana

चित्र
Shri Krishna kaliya naag ke seeron par nachana suru karte hein. vah jo bhi seer upper uthaata tha, Prabhu apne Charan kamal us par rakh dete the_ sur,lay,taal ke anusar. uske sarir ka kachumar nikal gya tha, vah Mukh or Nathuno se khun ugalne laga tha, marne jesi haalat ho gayi thi, baar baar murchhit ho jata tha or thori si bhi chetna aane par Fufkaare marne lagta tha. ak kahaavat he rasi jal gayi lekin bal nahi gya, yahi haal is dust ka he. jab Prabhu Nritya kar rahe the, tab Devgn Fulon ki barsaat kar rahe the, Apsaraayein naach rahi thi, Gandharav gaa rahe the, Baaja bhi baj raha tha, Krishi, Muni Istuti kar rahe the. jab kaliya naag ki patniyan dekhi ki ab hamaare suvaami nahi bachenge, tab un sabne Shri Krishna ki Sharan aakar Istuti karti hein sath hi sath apne pati ko mukt karne ki praathana karti hein, iske baad kaliyanaag bhi istuti karta he. Apne apraadh ke liye maafi mangta he. Prabhu bolte hein ki mere Charan Kama

Kaliya naag Daman Lila little Krishna story

चित्र
Kaliya naag, Shri Krishna ke sabhi ango par dasne ki kosis anek baar kiya tha. jab usne dekha ki is baalak par vish ka parbhaav nahi ho raha he, tab usne Prabhu ko apne vishal sarir me lapet liya tha. yah dekhakar Gop baalak behos ho gye the . bhayankar apsagun ho raha tha, jise dekhakar sab sochane lage ki, ham sabke jivan dhan kanha kushal mangal se he n, kahin asaa to nahi he ki fir se kisi rakshs ne aakraman kar diye ho? sabke sab ghar chhorkar Shri Krishna ko dhundhate- dhundhate, Prabhu ke Charan chinho ki sahaayta se, kaliya naag ke nivaas isthaan ke paas aa gye the. sabse pahale Nand ji yah kahakar murchhit hua the ki haay mere laal, tu to mughe atisay pyaar karta tha re ,tu sahasaa asaa dusshaas kese kar gya? mughase pahale tu chala gya. iske baad sabhi Gop chetna hin ho jaate hein. Yasoda ji, Rohini ji, Gopiyon ko Prabhu ke bina tino lok sunaa- sunaa lag raha tha. ve sabhi kaliya naag ke nivaas isthaan kund me kudna suru karti hein, Balram ji Balpurvak un sabko rok lete hein.