संदेश

अप्रैल 23, 2023 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Radha Krishna ki jaagran lila

चित्र
Aaraam karne vaale nikunj me Shri Krishna  apni sabse pyari radha -Rani ke sath, bahut- bahut sundar bistar par lete hua the .Maniyon ka halka dhima prakash fel raha he,chaaro taraf divaar par pile rang ke makhmal ka kapda ase laga hua he, maano isi se divaar bani ho,isi makhmal par shri krishna or unki priyatma ke raat ke samay ka vihaar lila ka chitr banaya gaya hai,dekhne se asaa lagta hai ki ye sab chitr n hokar radha krishna ki sajiv murti ho ,purv or dakshin ke kone me sone or mani se bani hui ak chouki rakhi hui he jisme pine ke liye paani rakha hua hai sath hi sath glass bhi rakha hua he, iske bagal me ak chouki raki hui he, jispar choude mukhe vaale bartan me haath- mukh dhone ke liye kisi bartan me jal rakha hua he , paschim or dakshin ke kone me rakhi hui chouki par sajne- savarne ka samaan rakha hua he, isi ke bagal vaali chouki me sisa rakha hua hai, Purab disa me ak sone ka pinjra rakha hua hai jisme radha rani ki priya meina  bethi hui thi . Subha hone hi vaali he vrinda