संदेश

Krishna Baal Lila लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Prabhu ka dusra ganamdin manaana

Shri yasoda ji Krishna ko Teyaar Karke, sabse pahale puja karne ke liye Mandir jaati hein. baro se aasirvaad shri Krishna ko dilvaati hein, chhoton ko uphaar deti hein, Brahmano ki puja karke, unki priya se Priya vastuan deti hein. sabko bhanti bhanti ke pakvaan khilaaya jata he. Prabhu ko bhi uphaar sabhi log dete hein. yasoda ji apne laal ko khilone ka laalach dekar Ghar par roki hui thi, nahi to Prabhu rukne vaale nahi the.

Krishna ji ke duvara Motiyon ki kheti

Ak din Brajpur me Bahu-mulya,durlabh bahut-bahut sunder motiyon ka vyaapaari aaya tha, jab vah braj-raaj ke ghar motiyon ke bane aabhusan dikhaa raha tha, tab hi Prabhu ak motiyon ki maala jabardasti lekar,ak-ak moti ko maala se nikaalkar bij ke jese miti ke under bo diye the . kuchh din baad Vishal motiyon ka vriksh ug aaya tha . gopiyan moti purokar mala pahana suru kar deti he. kisi ko bhi samajh nahi aaya ki motiyon ka vriksh kese panap gya he.

Krishna ke duvara yasoda ji se shikaayat

Shri Krishna bolte hein ki maiya jab me kheltaa hun tab, ye sabhi apne apne gharo me mujhe bulaakar mujhse anek kaam karvaati he. Kabhi kahati he ki makhan me se chitiyaan nikaalo to Kabhi bolti he ki pidhaa laakar de, Kabhi bolti he ki meri Matki us kamare se laakar de,Kabhi mujhse jhaaru pakaraane ko bolti he to kabhi mujhe bahut jyaada Nachaati hein. Ak tome in sab ka kaam bhi karta hun or Nachakar manoranjan bhi karta hun to bhi ye sabhi mujh par makhan chori ka aarop lagaati hein.

Krishna ki shikaayat yasoda jise

चित्र
Gopiyan bolti hein nandrani agar ise hamaare ghar me makhan,dudh,dahi khaane ko nahi milta to, yah krodhit hokar bolta he ki jis ghar me mere liye khuchh bhi nahi rahegaa, us ghar me kahin se angaar laakar rakh dungaa, grih hi bhasm ho jaayga. unke baalko ko asi maar maarungaa ki grih-suvaamini bhi ismaran rakhegi, parmaan ke rup me ham sabke sote hua bachon ko rulaakar bhaag jaata he. ise kisi ne ak din chor kah diya, tab bahut jyada krodhit hokar, kahane lagaa ki ri chor me nahi,tu he,yah ghar mera he isiliye is ghar ki samast vastuan meri he, vaastav me to tu chor he. jab iska haat unchaai par rakhe hui Matki par nahi pahuch paata he, tab yah kankar ya barchhi ki sahaayata se chhed kar deta he. sabke sab thik chhed ke niche mukh karke baari-baari se makhan,dudh,dahi khaate or pite he. hamaare ghar me bare-bare upaay karke chori karta he, yahaan to ase bhethaa hua he bhole -bhaale baalk ke jese, vah re mere shaadhu maharaj.

Gopi Ghar makhan chori part 11

चित्र
Ak din makhan chori karne ke vakt Prabhu pakre jaate hein. Gopi puchhati he ki tune makhan kyun churaaya? shri Krishna Bolte hein ki meri maiya mere haat me Mani-ratno se nirmit aabhusan pahanaati hein, jinke parkash se mera haat jal raha tha, isiliye mene thandak paane ke liye makhan haat me liyaa tha. Gopi Prabhu ki Baal pan vaali baat sunkar, hans -hans kar lot-pot ho jaati he. Kanhaiya ko pakarna ka vichaar bhi mastik me nahi aa paata tha, chunki shri Krishna pram-aanand ke maha-bhandaar hein. Prabhu ka rup hi asaa he ki maanav apni saara dukh,krodh bhul jaata he, yahaan to gopi ko Prabhu ka ispars ke sath sath unki Man-mohak vaani bhi sunane ko mili thi, fir Gopi kyun or kese n ho Shri Krishna ke prem me sab kuchh tayaagne vaali.

Gopi Ghar Makhan chori part 10

Kisi Gopi ne Matki me makhan apne sasur ke liye roti ke sath khane ke liye rakhi thi. Shri Krishna makhan churaakar, Matki ke under mitti ke bahut saare gol aakirity banaakar daal dete hein, in sab baaton se anjaan Gopi apne sasur ko roti ke sath khaane ke liye Matki de deti he. jab makhan ki jagah mitti ke tukre milte he tab uske sasur krodh hokar bolte he ki tu khaane ki roti ke sang mujhe mitti ka dhelaa deti he, mere sath hansi karti he, is ghar me ya to tu rahegi ya me, khakar bahar chale jaate hein. jab Prabhu apni sogandh dete hein tab hi vaapas aate hein. dusri baar fir khaana mangte he, Gopi isbaar taaja taaja makhan ke sath roti khaane ke liye deti he. Brajpur ke nivaasi shri Krishna se bahut prem karte the, isiliye Gopi ke sasur ne Prabhu ki kasam khaakar unki baat maan liye the.

Gopi Ghar makhan chori part 9

चित्र
Ak din Gopi khaat par sone ka naatak kar rahi thi. Sochi thi ki shri Krishna ko bharam me daalkar, use aasaani se pakar lungi. chupke chupke Prabhu sakhaaon ke sang aate hein, lekin Gopi ko Krishna Makhan mandali ke aane ka pataa nahi chal paata he, chunki vah shri Krishna Chintan me sab kuchh bhul gayi thi, yahaan tak ki khud ko bhi, isi ka laabh uthaakar kanha Gopi ki choti khaat ki kinaari se baandh dete hein. iske baad hi Gopi Chintan chhetra se baahar nikalti he bolti he. Kanhaiya meri choti khol de. kholnaa to bahut dur ki baat he, Prabhu apne mitro ke sath use chidhaa chidhaa kar makhan khaa rahe the. khaakar sabke sab Gopi ke sote hua bachon ko chikoti kaatkar bhaag gye the.

Gopi Ghar Makhan chori part 7

चित्र
Dusri baar fir Gopi unchaai par rakhe hua chhike me makhan ka bartan rakh deti he, usike paas ak Ghanti baandh deti he, taaki aavaaj hone par Shri Krishna ko pakaraa jaa sake, sath hi sath Narayan se praathana karti he ki Kanhaiya ko pakarne me mujhe safaltaa mile. Prabhu pahale ki bhanti karam se tin pidhaa rakh kar, uske upper apne mitra ko chadhaa dete hein, khud uske kandhe par chadh kar makhan churaana suru karte hein, lekin is baar Ghanti nahi pakarte hein, chunki Shri Krishna Narayan bhagavan ke avatar hein, jinhone Gopi ki praathana ko suvikaar kiye hein. jab Prabhu apne doston ko makhan khilaate hein tab nahi bajati, jese hi Shri Krishna makhan khaate hein vese hi ghanti baj jaati he. Prabhu puchhate hein ki kyu ri ghanti mere khaane ke samay hi kyun baji? javaab deti he ki Prabhu aapki hi aagya ka palan kar rahi hun. aapine to yah niyam banaaye he ki Narayan ko bhog lagane ke samay ghanti jarur bajani chaahiye, tabhi gopi aa jaati he Kanhaiya ka haat pakar kar bandhane ki kos

Gopi Ghar Makhan chori part 8

Shri Krishna ko Makhan churaate samay gopi dur se hi dekh leti he, dorkar aakar puchhati he ki Kanhaiya tune makhan ki Matki me haat kyun daala? Prabhu bolte he ki meri Gend tere ghar me aa gayi thi, me jaa hi raha tha, itne me mene dekha ki makhan ki Matki ke upper bahut saari chiti chadhi hui he. me chiti ko hataane lagaa tab hi makhan ki matki jis bartan se dhaki hui thi vo bartan dharti par gir gayaa tha. tab mene dekha ki makhan me bahut saari chitiyaan khel rahi thi, inhe hataane ke liye hi mene isme haat daala tha. fir Gopi savaal karti he ki tere mukh me makhan kese lag gya? Prabhu bolte he ki jis samay me makhan me se chitiyaan nikaal raha tha, usi samay chitiyaan mere mukh par chadh gayi thi. makhan lege hua haat se hataane par makhan mere mukh me lag gya tha, itnaa bolkar Prabhu chale jaate hein.

Gopi Ghar Makhan chori part 6

चित्र
Ak baar Shri Krishna ko Makhan churaate samay, Gopi dur se hi dekh leti he, bhaag kar aakar Prabhu ka haat pakar kar puchhati he ki, ri tu Makhan ki Matki me haat kyun daalaa huaa tha? Shri Krishna bole ki mera Baba ne mujhe Madhuvan se laakar ak govats rupi khilonaa diye the, use hi me dhundh raha tha, mujhe laga ki yah tere ghar Makhan khaane ke liye Matki ke under ghus gya hoga, isiliye mene Makhan ki Matki me haat daala tha. nikat rakhe hua makhan laga hua Govats rupi khilonaa uthaakar bole ki me ise hi dhund raha tha. ab jaakar milaa he. Prabhu ke Baal pan par Gopi hans-hans kar lot pot ho jaati he ki Shri Krishna khilone me_ man or budhi ki kalpanaa kar rahe hein.

Gopi Ghar Makhan chori part 5

चित्र
Ak din kisi Gopi ne Shri Krishna ko pakarne ke liye unche chhike par Makhan ka bartan rakh diya thi, usise sataakar ak ghanti baandh di thi, taaki aavaaj hone par vah yasoda laal ko pakar sake. Prabhu chori karte samay ak haat se ghanti jisse sabd n ho,dusre haat se nichale hise ke bich me chhed kar diye the, apna or apne doston Ka muh chhidra ke niche karke, makhan kha rahe the. Krishna jab makhan churaane aaye the tab unkaa haat chhike par nahi pahuch raha tha, jiske liye Prabhu ak upaay nikaale the_ karam se tin pidhaa rakhakar uske upper apne mitra ko chadhaa diye or khud uske kandhe par chadh gye makhan churane ke liye. Prabhu navnit haran kar hi rahe the itni der me Gopi aa gayi. apne mukh me rakha makhan gopi ke chehare par chhirak kar bahut tej gati se bhaag gye the. vah unsabko pakar bhi nahi paayi thi.

Gopi Ghar Makhan chori part 4

चित्र
Ak din Shri Krishna Makhan chori karte samay range haat pakare jaane par, Gopi se bolte hein ki ri tu maiya ke saamne mujhe apni god me lekar pyar karti thi, mene sochaa tere ghar jaaungaa,tera Makhan khaaungaa, tab tu mujhe or bhi adhik pyar karegi isiliye tere ghar makhan lene aayaa hun. Shri Krishna ka ispars,rup maadhurya or sangit se bhi jyada kaano ko khusi dene vaali vaani sunkar Mohit ho gayi, jiski vagah se Gopi ka man or budhi apne niyantaran me nahi the.

Gopi Ghar Makhan chori part three

चित्र
Ak din Makhan chori karte samay, keval Prabhu pakare jaate hein. Gopi haat pakar kar Krishna ki maiya ke paas unko le jaane ki kosis karti he, bich raste me Prabhu uska haat_ uske pati ke haat me pakaraa dete hein, khud aakar jaldi se chaadar odhakar sone ka dikhaavaa karte hein. Gopi yasoda ji se bolti hein ki aaj me tere laal ko makhan churaate samay pakar kar laai hun , dekh lo. Prabhu ki maiya haskar bolti he, jiska haat pakar kar laai he uska ak baar mukh to dekh le. jese hi Gopi cheharaa dekhati he vese hi sharmaa kar apne Ghar tej gati se chali jaati he. Shri Krishna Chintan me vah itni dub gayi thi ki kab Prabhu haat chhuraakar bhaage use pataa bhi nahi chalaa tha.

Gopi Ghar Makhan chori part two

चित्र
Ak din Shri Krishna Subha Subha Kisi Gopi ke Ghar jaakar bolte hein ki mari maiya ne Saint sevaa ke liye taajaa makhan mangi he, boli thi ki tu bahut jaldi savere savere makhan nikaal deti he. ak Matki makhan se bhari hui mangi he, iske badle me baad me do makhan se bhari Matki de dungi. Gopi bolti he ki do makhan se bhari Matki le jaao sath hi sath misri bhi le jaao, maiya se kahanaa me bhi apni taraf se saint seva karna chaahati hun. Prabhu apne doston se bole ki jiske Ghar chori ki ho uske ghar khaane me aanand aataa he isiliye ham sabhi is Gopi ke Ghar ke  darvaaja se satkar bethkar makhan khaayaa jaaye. khane ki aavaaj sunkar Gopi duvaar kholti he Prabhu or unke sakhaaon ko makhan or misri khaate hua dekhane par bolti he makhan saint sevaa ke liye chahiye tha ya apne or apne mitron ke liye? shri Krishna bolte he ye log bhi Baal saint he. Gopi bolti he ki acchaa tab to inkaa bhi acche se suvaagat honaa Chahiye vo bhi dande

Gopi ke Ghar makhan chori part one

Makhan churaate samay Prabhu ko mani se bane hua khambhe me apna pratibimb dikhaai detaa he. Shri Krishna usse bolte hein ki kisi ko mat bataana me makhan chura raha tha. aaj se hm dono sathi hua. me makhan kha raha hun tuh bhi kha, bolkar mukh rupi pratibimb me makhan daalte hein, lekin vah niche gir jata he. Prabhu usse bole" are bhai fek kyu raha he,bavlaa ho gya he? nahi bhai yah thik nahi he, aadhaa bhaag tera aadhaa  bhaag mera. dusri baar thora se adhik makhan apne pratibimb ke mukhh me dalte hein, fir gir jata he. shri Krishna usse bolte hein tune fir giraa diya. kya sab lena chaahataa he, nahi bhai yah uchit nahi he. achhaa ab tu maan jaa, khaa le,dekh kitnaa suvaadist he. acchaa lagegaa to isse bhi jyada dunga . Gopi Krishna rup maadhurya ras pine me itni kho jati he ki Prabhu ko pakarna bhul jati he.

Shivaji and Krishna

Shivaji Gokul me Prabhu ka darsan karne ke liye, sadhu ka rup banakar parvesh karte hein. Shri yasoda se Krishna ko dikhaane ki praathanaa karte hein. Radha Raman ji ki maiya bolti hein ki aapki manpasand chige de dungi prantu apne laa laa ko ajnabiyon ko nahi dikhaaungi. sadhu bolte hein me kelaash parvat se aaya hun. apni Shakti se muktaa har prakat karke bolte hein ki mujhase tum jo ikshaa ho mang lo. yasoda ji bolti hein ki kelaash parvat par bhagavaan Shivaji ke darsan kyun nahi kiye? Uma Nath bolte hein ki Isver ke Baal rup ka darsan sabse jyada durlabh he, kripa karke apne laal ka darsan karvaaiye. jabtak aap mujhe apne putra ko nahi dikhaayengi tabtak me yahi vriksh ke niche bethaa rahunga. Shivaji manhi man Prabhu se prathanaa karte hein, idhar Prabhu apni yogmaya ko yasoda ji ke paas jakar, unko samjhaane ke liye bolte hein. iske baad Prabhu jor jor se rona suru karte hein. Prabhu ki maiya apne kanha ko dudh pilaati hein,khilona khelne ke liye deti hein,bhanti bhanti ke pasu,

kanv Brahman par kripa

Gopiyon ke mukh se Shri Krishna ki rup maadhurya or Baal Lela varnan sunkar, kanv ne unsabse puchhe ki kinke putra ke visya me baat kar rahi ho? gopiyan ne kahaa yasoda or Nand ji ke putra ke bare me baat kar rahi thi. ye Brahman dev madhuvan ke akaant me Prabhu ki nirvighn bhakti karte the. Gokul ki dharti par apne ist dev ki puja karne ke liye pusp chunane or falon ko torne aaye the. parsansa sunkar Krishna ke ghar gye. yasoda or nand ji bhojan karne ke liye bolne lage. Brahman dev bole mughe khir banane ka saman de dijiye, me ise banakar apne Prabhu ko arpan karke, iska prasad praapt karunga. kanv khir banakar apne istdev ko arpan kar manhi man kuchh bolne lage, ankhe kholne par dhekhe ki yasoda laal khir kha raha he. dusri baar khir banaane ki prathanaa karke, Krishna ko apne godi me bethaakar, kahin jane nahi deti hein. acchi vaayu chalne ke karan dono ko nind aa jati he. sabse pahale Prabhu jaagkar, kanv Brahman duvara dusri bar banaai hui khir khaa rahe hein. tisri baar yasoda j

Golok part five

Radha ji ka pradhaan duvar Mani Ratno se bana hua tha, vahaan do vedikayein thin jo bahumulya Mani or Hire se bani hui thi. ratn nirmit kivaar us duvar ki sobha badhaate the. kivaar par bahut bahut sunder anek chitra bana hua he. pahale duvaar par virbhanu ji duvaarpaal the,dusre duvaar par Chandra Bhanu,tisre duvaar par Surya Bhanu duvaarpaal the,chothe duvaar par vasu bhanu,panchve duvaar par dev bhanu,chhate duvaar par shakra bhanu,satve duvaar par Ratn Bhanu duvaarpaal the,aathave duvaar par suparshrav,nave duvar par subal,dasve duvar par sudama duvaarpaal the,gyarahav duvaar par shridama the,ye sabhi bahumulya Divya vastra or Mani Ratno se bane jewelry pahane hua the. in sabhi duvaarpaalon ki seva karne ke liye anek sevak the. durlabh chigo se bane hua sinhahaasn par ye log viraajmaan hote hein. barah duvar se lekar solve duvar tak Radha ji ki daasiyaan paharaa de rahi thi, ye sabhi amulya vastra or aabhusan pahane hua thi. ye sabhi sundartaa ki praakasthaa se bhi pare sundar thi.

Golok part six

Solva duvaar par Mani Ratno se bani hui anek vedikaayan thi. Indra nil mani or laal rang ki mani se nirmit bahut sare khambhe the, bahut bahut sunder vandanvaar lagaayaa gya tha, kivaar par anek Manohar chitra bane hua the. sabhi Bhavano ke bich me mantramugdh,durlabh isthaan,jiski sundarta ke liye sabd hi nahi he,pramaanand dene vala Mahal tha. hire or mani se nirmaan kiya hua anek istambh tha. paarijaat puspo ki maalaon ki jhaalaro se sajaya gya tha. Moti, Maanikya, Ratan, Darpan or suvet chanvar ke bane bahut sare Mangal kalash the. resmi sutra me gunthe hua Chandan palavon ki vandanvaar se istambho ko sajaya gya tha. sugandhit dravon se chhirkaao kiya gya tha. suvet dhaanya,munga,fal,akshat,durvadal or suvet pusp the. Ratno se nirmit bed par Divya, Komal or sukshm vastra bichhaa hua tha. tino lokon me durlabh sukh suvidhaa ,sajaavat or bahumulya padhaartho ka bhandaar tha. sab taraf sangitmya vaataavaran banakar radhe krishn ki istuti ki ja rahi thi. Radha Krishna ka Ratno se bana

Golok part seven

Sabhi duvaaron ke duvaarpaalon se aagyaa le lekar, Devgn ant me ase isthaan me pahuch gye the, jahaan arbo,kharbo suryon ke jitnaa Prakash tha. vahaan sinhahaasan par Radha Krishna viraajmaan the. Devtaaon ne Radha Raman ki bahut sunder istuti ki. Prabhu unsabse bole ki me ati shighara dharti par avatar lunga, iske baad sab apne apne lok chale aayein.