Shivaji and Krishna

Shivaji Gokul me Prabhu ka darsan karne ke liye, sadhu ka rup banakar parvesh karte hein. Shri yasoda se Krishna ko dikhaane ki praathanaa karte hein. Radha Raman ji ki maiya bolti hein ki aapki manpasand chige de dungi prantu apne laa laa ko ajnabiyon ko nahi dikhaaungi. sadhu bolte hein me kelaash parvat se aaya hun. apni Shakti se muktaa har prakat karke bolte hein ki mujhase tum jo ikshaa ho mang lo. yasoda ji bolti hein ki kelaash parvat par bhagavaan Shivaji ke darsan kyun nahi kiye? Uma Nath bolte hein ki Isver ke Baal rup ka darsan sabse jyada durlabh he, kripa karke apne laal ka darsan karvaaiye. jabtak aap mujhe apne putra ko nahi dikhaayengi tabtak me yahi vriksh ke niche bethaa rahunga. Shivaji manhi man Prabhu se prathanaa karte hein, idhar Prabhu apni yogmaya ko yasoda ji ke paas jakar, unko samjhaane ke liye bolte hein. iske baad Prabhu jor jor se rona suru karte hein. Prabhu ki maiya apne kanha ko dudh pilaati hein,khilona khelne ke liye deti hein,bhanti bhanti ke pasu,chiriya,ful,naachtaa hua mor dikhaati hein,vibhin parkar se Prabhu ka manoranjan karne ki kosis karti hein, phir bhi Prabhu chup nahi hote hein, chunki Krishna ji bhi Baal rup me Shivaji ke darsan karna chahate the iske alava Uma pati ki prathnaa ke anusaar kaam karna tha. Prabhu ki yogmaya gopinath ki aagyaa anusar Gokul naari ka rup banakar yasoda maiya se jakar bolti hein ki, ye shidh mahapurush hein, me kaasi me inka darsan ki thi. mane suyam inke bare me vahaan ke logo se suna he" tabhi to tumhara laal inke jaane ke baad lagaataar roye ja raha he kisi parkar bhi chup nahi ho raha he. yasoda ji itnaa sunte hi bhaagi bhaagi sadhu ke paas jakar unke charno me apne putra ko rakhane ki paryatn karti hein, lekin Shivaji yasoda ji ki god se Prabhu ko lekar unke charan chhukar,maatha chumkar,apne hridya se laga lete hein. Prabhu mand mand muskuraane lagte hein. yasoda ji bhi prasan ho jati hein ki mere laal rona chhorkar muskurane laga he.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4