संदेश

अगस्त 15, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Krishna ki Indr Dev ka Abhimaan dur karne ki Lila

चित्र
Jab Indr Dev dekhe ki unki puja nahi ho rahi he tab unhone Saamvartak name ke Megh gano ko jiska bandhan, keval maha pralya kaal me kholaa jaata he. Logo sahit puri vrindhan ki dharti ko dubaane ki aagya diye the, in megh gano ka rang rang birangaa tha. Ye haathi ke samaan moti jal dhaaraao ki varsaa karne lage the. Bare-bare parvat jitne bare, croro baraf ke khando ki bhi barsaat ho rahi thi. Inki aavaaj se saato loko,pataalo sahit pura brahmaand gunj uthaa tha, disaayein apne apne isthaan par rah nahi paa rahi thi, taare tut-tut kar gir rahe the, maha prachand aandhi chal rahi thi, bhayankar muslaadhaar barsaaat ka pani tir ki tarah chubh raha tha. Baadal ke garajne or Bijali ke karakne ki bhisan aavaaj aa rahi thi, jiske karan sampuran Brahmaand kaapne laga tha. Sab log darkar Shri Krishna se bachaane ki praathnaa karne lage the . Prabhu govardhan parvat ko apni anguli se utthaakar bole ki aap sabhi apni apni chigon or pasuon ke sath iske niche aa jaaiye. Arbo surya ke samaan tejsav

Shri Krishna ki Govardhan Puja karaane ki lila

चित्र
Ak Baar ki baat he, Vrindaavan ke sabhi bare log, Indr Yagya ki teyaari kar rahe the. Shri Krishna apne Baba se puchhate hein ki Pitaji aap logo ke saamne yah kon-saa bhaari kaam,kon-saa utsav aa pahuchaa he, jiski aap log itni teyaari kar rahe hein? Iska fal kya he,kinke duvaara, kin saadhano se yah kiya jaata he, Aap mere Pita hein isiliye aapko mujhe iske visya me avasya Gyaan dena chahiye. Nand ji bole Indr Yagya ki teyaari ho rahi he, jo Brahmano duvaara, Aam ki lakri, Til, Jou, Desi ghee, Shahad, Guggul, Kapur, Long, Achhat, Naariyal,sak-kar, Safed chandan ka churaa, Asv- gandhaa, Plaas, Taalis patr, Daal chini, Makhaana, Giloy, Sisam se bani saamgri, Jaayfal, Adrak aadi ka upyog karke kiya jaata he. Indr Dev varsaa ke Devta hein, jo hamaare kheto me jal uplabdh karvaate hein, jiski sahaaytaa se kheto me kaam achhe se ho paata he, yadi varsaa nahi hogi to haamare kheto me anya nahi upjega. Shri Krishna bolte he ki Manusyon ko apne acche karmo ke kaaran sukh or bure karmo ke karan

Brahman Patniyon ka Pichhalaa Ganam

चित्र
Ak baar ki baat he, Saptkrishiyon ki Pativrataa or sunder patniyon ke ang ko, Anal Dev chhu liye the, jiske karan un saat krishiyon me saamil Angiraa ji ko krodh aa gya tha. Unhone Anal dev ko abhisaap diye the or apni Patniyon ko Manusya yoni me jaane ka sharaap diye the. Maafi mangne par apni Jivan-sanginiyon ko Shri Krishna darsan hote hi Golok dhaam praapti ka vardaan diye the iske alaava yah bole the ki un Brahmano ke paas tum sab ki chhaya-ans chali jaayengi, jo baad me hamaare paas aa jaayengi. Yagya puran karne ke liye, Brahman Patniyaan, Shri Krishna duvaara, bahut samjhaane par bhi, jaane ko teyaar nahi hui, tab Prabhu un sabki chhayaa-ans ka nirmaan karke, un Brahmano ke paas bhej diye the, taaki yagya puran ho sake or asli Brahmaniyon ko Golok dhaam bhej diye the.