Shivaji and Krishna
Shivaji Gokul me Prabhu ka darsan karne ke liye, sadhu ka rup banakar parvesh karte hein. Shri yasoda se Krishna ko dikhaane ki praathanaa karte hein. Radha Raman ji ki maiya bolti hein ki aapki manpasand chige de dungi prantu apne laa laa ko ajnabiyon ko nahi dikhaaungi. sadhu bolte hein me kelaash parvat se aaya hun. apni Shakti se muktaa har prakat karke bolte hein ki mujhase tum jo ikshaa ho mang lo. yasoda ji bolti hein ki kelaash parvat par bhagavaan Shivaji ke darsan kyun nahi kiye? Uma Nath bolte hein ki Isver ke Baal rup ka darsan sabse jyada durlabh he, kripa karke apne laal ka darsan karvaaiye. jabtak aap mujhe apne putra ko nahi dikhaayengi tabtak me yahi vriksh ke niche bethaa rahunga. Shivaji manhi man Prabhu se prathanaa karte hein, idhar Prabhu apni yogmaya ko yasoda ji ke paas jakar, unko samjhaane ke liye bolte hein. iske baad Prabhu jor jor se rona suru karte hein. Prabhu ki maiya apne kanha ko dudh pilaati hein,khilona khelne ke liye deti hein,bhanti bhanti ke pasu,