संदेश

Shri Krishna ki Mathura Me Lila लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Krishna ki Darji par kripa

Kuchh Kapde vahin chhorkar thora aage jaane par, unko ak darji dikhaai diya, vah in dono bhaiyo ki sundarta dekhkar mugdh ho gya tha, usne shri krishna,balram or gvaal baal ke sarir me dhile_ dhaale kapre dekhkar, un rang_ birange or sundar vastro ko un sabhi ke sarir par aise dhang se sajaa diya ki ve sab thik thik  fab gye the. Shri Krishna ne prasann hokar us darji ko atulya dhan_ sampati,aayu,bal,kirti,kaanti,dur tak dekhane, sunane ki indriy sambandhit power or marne ke baad apne dhaam golok me jaane ka vardaan bhi de diye the. Apna saarupy moksh pradaan kiye the.

Shri Krishna duvara Dhobhi ka uddhaar

Ak Dhobhi jo kapre dhone ke sath_ sath rangne ka bhi kaam karta tha, bhagvan Shri Krishna ke nikat se hi jaa raha tha. Usko apne paas bulaakar, Prabhu bole ki hum logo ko pahane ke liye, humare naap ke kapde dedo, vaastav me hum iske adhikaari hein, isme sandeh nahi hai ki asaa karne par tumhara param kalyan hoga. Dhobhi Bhagvan Shri Krishna se bola ki tum log rahte ho sada janglo or pahaado me, kya vahaan par bhi aise hi vastr dhaaran karte the? tum sabhi bahut uddand ho gye ho isiliye badh_ badhkar baate kar rahe ho. Maharaj kans ke dhan ko lutna chaahate ho, are murkho bhaag jaao, chale jaao yahaan se, raja ke senik tumhare jeso ko pakad kar jail me daal dete hein, jo kuchh bhi tumhare paas saaman hota hai, sab chhin lete hein, kabhi_ kabhi marva bhi daalte hai, kuchh din jivit rahna chaahate ho to vaapas chale jaao. Vah murakh dhobhi kans ka sevak hone ke karan matvaala ho raha tha, bhagvaan ke duvara banaai vastuon ko, bhagvaan ko  hi nahin de raha tha, prabhu apne power se kapde