संदेश

अप्रैल 10, 2022 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Krishna duvara kuvalayapida Haathi ka uddhaar

चित्र
Mathura ke dakshin me ak shiv ja ka mandir hai, jise rangesvar mahadev mandir bolte hai, jo is nagar ke kshetrpaal rup me upasthit hein or bhakto ki manokamna puri karte hein. Isi me kans ne dangal ka aayogan karvaya tha, bhagvan Shri Krishna or balram ji puchhat_ puchhate yahaan pahuch gaye the. Mandir ko fulon ke gajro,chhoti_ chhoti jhandiyon,chamkile atyant chote_ chote kapde,bandanvaar or anya sajaavat ki chigon se bahut sundar sajaaya gya tha. Shiv jo ko bhi bahut sundar sajaya gya tha. Kans apne mantriyon ke sath chhote chhote rajaaon or bare bare rajaon ke bich me, unche isthaan par, shresth sinhhaasan par betha tha. In Sinhhaashan ko bhi bahut_ bahut sundar sajaaya gya tha. Dangal ke anukul baaje ki aavaaj sunkar, shri krishna or balram ji teyar hokar, mandir ke darvaaje se bhitar ghusne ki kosis karte hai, bich raaste me kuvalayapida name ka haathi khada tha, jiske uppar ak mahavat bethaa hua tha. Bhagvan Shri Krishna Mahavat se bolte hein ki mahavat o mahavat, hum dono ko ra