Shri Krishna duvara kuvalayapida Haathi ka uddhaar

Mathura ke dakshin me ak shiv ja ka mandir hai, jise rangesvar mahadev mandir bolte hai, jo is nagar ke kshetrpaal rup me upasthit hein or bhakto ki manokamna puri karte hein. Isi me kans ne dangal ka aayogan karvaya tha, bhagvan Shri Krishna or balram ji puchhat_ puchhate yahaan pahuch gaye the.
Mandir ko fulon ke gajro,chhoti_ chhoti jhandiyon,chamkile atyant chote_ chote kapde,bandanvaar or anya sajaavat ki chigon se bahut sundar sajaaya gya tha.
Shiv jo ko bhi bahut sundar sajaya gya tha.
Kans apne mantriyon ke sath chhote chhote rajaaon or bare bare rajaon ke bich me, unche isthaan par, shresth sinhhaasan par betha tha.
In Sinhhaashan ko bhi bahut_ bahut sundar sajaaya gya tha.
Dangal ke anukul baaje ki aavaaj sunkar, shri krishna or balram ji teyar hokar, mandir ke darvaaje se bhitar ghusne ki kosis karte hai, bich raaste me kuvalayapida name ka haathi khada tha, jiske uppar ak mahavat bethaa hua tha.
Bhagvan Shri Krishna Mahavat se bolte hein ki mahavat o mahavat, hum dono ko raasta de de,humaare maarg se hat ja,are sunta nahi?
Der n kar, nahi to me tujhko or tere haathi ko yamlok pahuchaa dunga.
ITna sunte hi mahavat krodh se tilmilaakar, ankush ki maar se, gaj ko gusshaa dilaakar, prabhu ki taraf badhaaya.
Haathi Radha Raman ki taraf jhapatkar turant sund se uthaa liya tha, govind apna bhaar badhaakar, uski pakar se suyam ko chhurakar, uske pero ki bich me chhup Gaye the.
Apni sund se sunghkar, prabhu ke chhupne ki jagah ka pata lagakar, sund se uthaakar pakarne ki jese hi kosis kiya, mukund ne uski sund ko dono haatho se bahut jor se dabaakar, pichhe ke raaste se bahar nikal jaate hai, tisri baar fir jese hi shri krishna ko pakarne ki kosis karta hai vese hi prabhu uske mastik par ak mukkaa jamaate hein,uski puchh pakar kar, usko sho haath pichhe le aaye the, jis parkar garud saap ko pakar kar, pichhe le ke aata hai, uski puchh pakar kar, kabhi daaye aa jaate hai to kabhi baaye aa jaate hein, jab vah daaye se pakarne ki kosis karta he tab prabhu baaye aa jaate the, jab vah baaye se pakarne ki kosis karta to prabhu daaye aa jaate the.
Uski puchh pakar kar gol_ gol ghumaane lage the, jis parkar gokul or vrindavan me bachharon ko gol _gol ghumaate the.
Achhanak uski puchh chhorkar, radha raman bhaagne lage the, vah bhi pichhe_ pichhe dorne laga tha, ak baar Prabhu girne ka naatak kiye the.
Shri Krishna ko gira hua dekhkar, jese hi apne daaton se Prabhu ko maarne ki prayatn kiya, uske pahale hi prabhu bhaag gaye the, jiske karan uske daat dharti se chotil ho gaye the, apna aakrman karne ki asafalta dekhakar, kuvalayapida haathi jal bhun gaya tha.
Kuvalayapida Haathi ne fir shri krishna ko maarne ki kosis Kiya tha.
Madhysudan uski puchh pakar kar daye bayee ghumaakar prithvi par patak diye the, dono peron se  atyant jor se dabaakar, is haathi ke daathon ko bhi ukhaad liye the, jo bahar ki taraf nikle hua tha, isise mahavat ka bhi kaam tamaam kar diye the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4