संदेश

अगस्त 22, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Bhagwan Shri Krishna ka Govind name rakhna

चित्र
Suvarg se aakar  Indr Dev Shri Krishna se maafi maangnkar, unki istuti kiye the . Shri Krishna unse bole ki He Indr mene tumhara yah yagya, tum par apni kripa dikhaane or tumko yah ismaran dilaane ke liye ki me hi sabka suvaami hun, yagya nast kiya hun, jo asvarya or dhan-sampati ke abhimaan me andhaa ho jaata he, vah yah nahi dekhta he ki me kaal rupi parmesvar, haat me dand lekar, uske seer par savaar hun, tumhe yah ismaran rakhna chaahiye ki tumhara saara bhotik asvarya mugh shri krishna ke karan he. Indr tumhara mangal ho, ab tum apni raajdhaani amraavati me jaao, meri aagyaa ka paalan karo, ab kabhi Ghamand n karna. Suvarg se Surbhi name ki Gaaye bhi aayi thi, usne Prabhu ki istuti karke boli_ suvarg ke suvaami Indr dev hua kare, hamaare suvaami to keval aap hi hein. Aap Gaayon.Brahmano,Devtaaon or Santo ke kalyaan ke liye or duston ka vinaash karne ke liye prithvi par avataar lete hein isiliye me aapko apna indr banaana chaahati hun