संदेश

kripa dristi falvali par लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Falvaali par kripa

 dhaan istipon se dhaan lekar Gharonda bana rahe the. acchanak falvali ki aavaaj sunker uske paas jakar bole ki RI me Fal lungaa Fal. Prabhu ko dekhakar vah sabkuchh bhul jaati he, asaa ho bhi kyun nahi sampuran Brahmand ki sundarta bhi Gopinath ke aage phiki he. Prabhu dusri baar bolte hein Ri me Fal lunga Fal. Sangit ki aavaaj se bhi pare, maadhurya se pripuran he jise sunkar Falvali ko Pramaanand ka anubhav hua. ankho se ashru bahane lage the. Dil ki dharkan tej ho gayi thi. kuchh bol Nahi pa rahi thi. Prabhu phir bole ri sunti nahi me fal lunga fal de. Fal ke mulya me mughe kya milega. Krishna puchhate he ki mulya kya hota he? Falvali bolti he lekar jo vastu di jaati he use mulya bolte he. Nandnandan bolte he ri tu bavali ho gayi he, meri maiya mughe bahut sara Saman deti hein parantu Kabhi mulya nahi leti. Falvali bolti he ki vah teri mata he n isiliye tughse mulya Nahi leti he. yasoda laal bole ki Gopiyan bhi mughe Makhan, Dahi, Dudh khilaati or pilaati he lekin kabhi mulya nahi