संदेश

दिसंबर 26, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shankhchud ka Shri Krishna ke duvara uddhaar

Ak Baar ki baat he, Shri Krishna or Balram ji Gopiyon ke sath, raat ke samay, idhar udhar ghum rahe the. Munbhaavan vaayu chal rahi thi. Braj-yuvatiyaan un dono bhaiyon ke guno ka gaan kar rahi thi, baad me Shri Krishna or Balram ji atyant madhur sur me gaana gaane lage the. Inki munmohak aavaaj sunkar gopiyon ko n to apna hos rahta hai n hi sansaar ka, ve to inke gaane me hi dub gayi thi. Achanak Kuber ka anuchar shankhchud name ka yaksh, aakar, bekhatke gopiyon ko uthaakar, uttar disa ki taraf bhagta hai, ve bachaav ke liye unko pukaarne lagi thi. Ye dono bhai shaal ka vriksh lekar uske pichhe bhaagne lage the, unhe aate dekhkar, vah darkar, gopiyon ko chhor diya tha or bhaybhit hokar dourne laga tha. Balram ji gopiyon ke paas ruk jaate hain or Prabhu uska pichhaa karte karte, usko pakar lete hein, uske seer par bahut jor se ak ghunsaa jamaaye the, uske seer me lagi bahumulya mani nikaal lete hain, uska seer dhad se alag ho jaata hai, apne Baldaau ko laakar yah adbhut mani uphaar me

Sudarshan name ke Vidyadhar ka ajgar ki yoni se uddhaar

चित्र
Ak baar ki baat he. Nand ji anya, sabhi Gopo ke sath Shivraatri ke samay, Belgaadi me, jaruri saman rakhvaakar, is par bethkar, apne sathiyon ke sath, Ambika van ki yaatra kiye the. vahaan un sabhi ne sarasvati nadi me isnaan karke, vidhi-vidhaan se Sarv-Antar-Yaami Pashupati Bhagvaan Shankar or Bhagavati Mata Parvati ki puja kiye the. Iske baad un sabne Brahmano ko suvaadist bhojan khilaakar, Gaayein,kapre, Sona,Madhu or anya bahut saari unki manpasand vastuan daan me diye the . Dinbhar upvaas kiye the, keval jal piya gya tha, us nadi ke kinaare hi sabhi so gye the, usi van me ak bhayankar ajgar rahta tha, jo bahut dino se bhukhaa tha. Vah aadhi raat ko aakar, nand ji ko nigalne ki kosis karne laga tha, ve apne putr Shri Krishna ko pukaarne lage the, anya sabhi aavaaj sunkar, uthkar, adhjali lakri se, usko maarne lage the parantu fir bhi usne Prabhu ke baba ko nahi chhora tha, tab Shri Krishna apne charan kamal se uska ispars kiye the. Govind ke chhune se vah turant hi us yoni se mukt

Bhagwan Shri Krishna ke 64_Gun

(1) Sampurn sarir ka sunder suvarup (2)Samast shubh guno se yukt (3)Ativ Ruchir (4)Tejvaan (5)Balvaan (6)Nity Yuvaa (7)Adhbhut Bhasha vidy (8)Satyvaadi (9)Madhur Bhaashi (10)Bolne me chaalak (vaakpatu) (11)Supandit (12)Atyadhik Budhimaan (13)Pratibhaavaan (14)Vidagd (15)Ativ Chatur (16)Daksh (17)dhrind Sankalp (18) kritagya (19)Kaal tthaa prishthitiyon ke kushal nirnaayak (20)Vedo or shaastro ke adhaar par dekhane or bolne vaale (21)Pavitr (22)Aatmsayami (23)Sa-hisnu (24)Samdristi rakhne vaale (25)Kshamaashil (26)Isthir (27)Udaar (28)Gambhir (29)dhiraj rakhne vaale (30)Dhaarmik (31)Dayaalu (32)Shurvir (33)Bhadr (34)Vinayi (35)lag-gaavaan (36)sabka sam-maan karne vaale (37)Bhakton ke hiteshi (38)Premvash (39)sarnaagat palak (40)Sukhi (41)Param Mangalmy (42)Bhakto ka paksh lene vaale (43)Sarv shakti shaali (44)Sabko aakarshit karne vaale (45)Param Yashavi (46)Lokpriya (47)Sarv araadhy (Sabke duvaara puje jaane vaale) (48)Sabkuchh jaanane vaale (49)Chir nutan (50)Parivartan rahit (51)Para