Shankhchud ka Shri Krishna ke duvara uddhaar
Ak Baar ki baat he, Shri Krishna or Balram ji Gopiyon ke sath, raat ke samay, idhar udhar ghum rahe the. Munbhaavan vaayu chal rahi thi. Braj-yuvatiyaan un dono bhaiyon ke guno ka gaan kar rahi thi, baad me Shri Krishna or Balram ji atyant madhur sur me gaana gaane lage the. Inki munmohak aavaaj sunkar gopiyon ko n to apna hos rahta hai n hi sansaar ka, ve to inke gaane me hi dub gayi thi. Achanak Kuber ka anuchar shankhchud name ka yaksh, aakar, bekhatke gopiyon ko uthaakar, uttar disa ki taraf bhagta hai, ve bachaav ke liye unko pukaarne lagi thi. Ye dono bhai shaal ka vriksh lekar uske pichhe bhaagne lage the, unhe aate dekhkar, vah darkar, gopiyon ko chhor diya tha or bhaybhit hokar dourne laga tha. Balram ji gopiyon ke paas ruk jaate hain or Prabhu uska pichhaa karte karte, usko pakar lete hein, uske seer par bahut jor se ak ghunsaa jamaaye the, uske seer me lagi bahumulya mani nikaal lete hain, uska seer dhad se alag ho jaata hai, apne Baldaau ko laakar yah adbhut mani uphaar me de diye the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें