Parikshit Maharaj ke raaslila related savaal
Raja Parikshit puchhe the ki Bhagwan Shri Krishna saare jagat ke ak maatr suvaami hein, unhone apne ans_ Shri Balram ji ke sahit puran rup me avatar grahan kiye the. Unke avatar ka uddeshy hi yah tha ki dharam ki isthaafna ho tthaa adharm ka naas ho. Brahmn ve Dharm Maryaada banaane vaale,updesak, dharm ko bachaane vaale hein, fir unhone suyam dharm ke viprit, praai naari ka ispars kiyu kiye the? Me maanta hun_ Bhagwan Shri Krishna purnkaam the, unhone kis abhipraay se yah nindniy karam kiya? Param Brahamchaari Munisvar mera sandeh mitaaiye. Shri Shukdev Muni bolte hein ki Surya,Agni,aadi isvar samarth kabhi-kabhi Dharam ka ullanghan or saahas ka kaam karte dekhe jaate hein, parantu un kaaryo se un tejsavi puruson ko koi paap nahi lagta hai, dekho agni sab kuchh khaa jaati hai, parantu un padaartho ke dos se lipt nahi hota hai, jin logo me assa saamthry nahi hai, unhe mun se asi baat nahi sochana chahiye,sarir se karna to dur raha. Yadi murakhtaa vash koi asaa kare to uska naas ho jaa