संदेश

अगस्त 8, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Brahaman Patniyon par Kripa

चित्र
Nyanaa- abhiraam Balram!tum bare praakrami ho. hamaare chitchor syam sunder!tum dono ne bare-bare duston ko mara he, unhi ke jese yah bhuk bhi hame sata rahi he, atha tum dono ise bhi bujhaane ka koi upaay karo. Shri Krishna bole mere pyare mitro! yahaan se thori hi dur par Vedvaadi Brahman suvarg ki kaamna se Aangirs namak yagya kar rahe hein. Mera or Baldaau Bhaiya ka kaam lekar Bhogan maang lena. Brahman log Gop baalko ki baato ko ansuna kar diye the. Gvaal baalkon ne Brahmano duvaara khaana nahi milne ki baat bataa diye the. Prabhu bole asafalta se niraas nahi hona chaahiye, baar baar prayatn karne par vijya prapt ho hi jaati he. mere priy sakhaao is baar unki patniyon ke paas jaakar bhi pahale ki tarah hi Bhogan mangna, tum log jitnaa chaahoge utna bhogan tumhe de dengi, ve mughse bara prem karti hein, unka man sadaa-sarvadaa mughme hi lagaa rahta he. Gvaal baal Brahaman ki patniyon se jaakar bole ki Aap Vipr Patniyon ko ham namaskaar karte hein. hamaare py

Shri Krishna ki vastr haran Lila

चित्र
Hemant ke pratham maas Margshirs me Gopiyan Kaatyaayani Devi ki puja, Shri Krishna ko hamesha ke liye, apna banaane ke liye karti thi. Nadi ke tat par hi Devi ki Baalukaamayi Murti banaakar, sugandhit Chandan, Fulon ke haar, Prasaad ke liye anek chije or Dipak or Agarbati se puja karti thi. ye sab karne ke sath hi praathana bhi karti thi ki Shri Krishna ko hamaara Pati banaa dijiye, ham aapke charno me namaskaar karti hein. Shri Krishna gopiyon ke kapre uthaakar, bari furti se, ak kadamb ke vriksh par chadh gye the . bolne lage the ki Ari kumariyon tum sab yahaan aakar ikshaa ho, to apne apne vastr le jaao,me tum logo se sach-sach kahata hun, majaak bilkul nahi karta, vart karte- karte tum sabhi durbal ho gayi ho, ye mere sakhaa gvaal baal jaante hein ki mene kabhi jhuthi baat nahi kahi he. tumlogo ka man ho, to alag- alag aakar kapre le jaao ya sab ak sath hi aao, mughe isme koi aapatti nahi he. Gopiyan boli pyare Shri Krishna tum asi aniti mat karo,ham sabhi j