Brahaman Patniyon par Kripa

Nyanaa- abhiraam Balram!tum bare praakrami ho. hamaare chitchor syam sunder!tum dono ne bare-bare duston ko mara he, unhi ke jese yah bhuk bhi hame sata rahi he, atha tum dono ise bhi bujhaane ka koi upaay karo.

Shri Krishna bole mere pyare mitro! yahaan se thori hi dur par Vedvaadi Brahman suvarg ki kaamna se Aangirs namak yagya kar rahe hein. Mera or Baldaau Bhaiya ka kaam lekar Bhogan maang lena. Brahman log Gop baalko ki baato ko ansuna kar diye the. Gvaal baalkon ne Brahmano duvaara khaana nahi milne ki baat bataa diye the. Prabhu bole asafalta se niraas nahi hona chaahiye, baar baar prayatn karne par vijya prapt ho hi jaati he. mere priy sakhaao is baar unki patniyon ke paas jaakar bhi pahale ki tarah hi Bhogan mangna, tum log jitnaa chaahoge utna bhogan tumhe de dengi, ve mughse bara prem karti hein, unka man sadaa-sarvadaa mughme hi lagaa rahta he.

Gvaal baal Brahaman ki patniyon se jaakar bole ki Aap Vipr Patniyon ko ham namaskaar karte hein. hamaare pyare Shri Krishna or Balram Bhaiya or Hm sabhi ko bahut tej bhuk lagi he, itnaa sunte hi ve sabki sab jitni jaldi ho sake, bhaanti-bhaanti ke bhogan, anek thaali me sajaakar, Radha  Raman ke nikat chali gayi thi.
Shri Krishna un Brahman patniyon se bole ki Maha bhaagya vati deviyon!tumhaara suvaagat he. aao,betho kaho,ham tumhara kya suvaagat kare? tum sabhi mera darsan karne aayi ho, yah tumhaare jese prem puran hridya vaalo ke yogya hi he. isme sandheh nahi he ki budhimaan log mughse hi prem karte hein chunki me hi sabka aatma hun. Praan, Budhi,, Man, Sarir, Parivaar, Dhan aadi sabhi vastuan jiske liye, jiski sanidhi se priy lagte hein, us aatma se, Parmaatma,mugh shri Krishna se badhakar kon pyara ho sakta he? isiliye tub sabka aana uchit hi he. me tumhaare prem ka abhinandan karta hun, prantu ab tum log mera darsan kar chuki ho. ab apni yagya shaala me jaakar apne apne patiyon ke sath yagya ko puran karo. ve tumhaare sath milkar hi yagya purn kar paayenge.
Brahman patniyan boli aapki yah baat bari nisthurtaa se bhari he. shurutiyaan kahati hein, ki jo ak baar Bhagvaan ko prapt ho jaata he, use fir sansaar me nahi lotnaa parta he. aap apni Vedvaani sach kijiye. ham sabhi apne sage-sambhandhiyon ka ullanghan karke, aapke charno me isliye aayi hein ki aapke charno me girihui tulsi ki mala ko, apne keso me dhaaran kar sake. suvaami ab hame koi bhi suvikaar nahi karega, fir dusro ki baat hi kya he. Vir-shiromane- hm aapke charno me aa pari hein. hame or kisi ka sahara nahi he, isiliye ab hame dusron ki sharan n jaana pare, asi vyavasthaa kijiye.
Jo mera ho jaata he, uska sammaan saara sansaar karta he. deviyon is sansaar me 
mera ang-sang hi keval manusyon me meri priti ya anuraag ka karan nahi he. tum sab dur se hi apna- apna man mughme lagaakar, mughe prapt karo.
Brahamaniyon ko dekhte hi Brahmano ka Mn saaf ho gya tha, unko apni karni par pachhtaava hone lagaa tha, yah sab Prabhu ke darsan ke punya se hua tha.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4