संदेश

फ़रवरी 14, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

shri Krishna Ukhal Bandhan Lila part-3

चित्र
 rokar apni maiya se bol  rahe hein ki, maiya ab me asaa nahi karungaa. apne aapko chhuraane ki kosis karte hein. shri yasoda ji apni choti me bandhi resm ki dori kholkar, shri Krishna ko baandhane ka paryatn karti he. dusri,tisri resm ki dori, tino resm ki dor ko paraspar milaakar, apne Kanhaiya ko baandhne ki kosis karti hein,. fir bhi prabhu ko baandh nahi paati hein. Prabhu ki tej rone ki aavaaj sunkar, sabhi gopiyaan bhaagi bhaagi aati hein. yasoda ji gopiyon ko bolti hein ki mere mani se bane bag me bahut saari resam ki rasi he, usmese sabhi rasiyaan le aao. gopiyan yasoda ji se vinti karti hein ki kanha ko chhor do. Prabhu ki mata un sabse bolti hein ki mujhe tum sabki shikshaa ki jarurat nahi he. rasi laana he to laao nahi to mat laao, sahan nahi ho raha he to tum sab apne apne netro ko band kar lo. chaahe Subha se SAAM ho jaaye, me to ise baandh kar hi rahungi. Brajpur ke sabhi gharo ki rasiyon ko milaakar shri Krishna ko baandha

Shri Krishna Daamodar Lila part-2

चित्र
Shri Krishna Sabha- Bhavan ki taraf, yah sochakar bhaagte hein ki istri hone ke kaaran, maiya vahaan jaa nahi payengi. me maar khaane se bach jaaunga. Trikaal- Darsi jo sab visyon ke gyaan ke rachanaakar hein,jo sabkuchh jaanane vaale hein vo vaatslya bhaav bhakti ke kaaran, bhakt ke adhin hokar itni chhoti si baat bhul jaate hein ki Nand baba, GOPgn or sabhi nokar,nakaraniyan Indra- Yagya ki teyaari karne ke liye kahin gye hua the. six nokraani to yasoda ji ke paas kaam me sahaayta karne ke liye ruki hui thi. lekin yasoda ji kisi n kisi kaam ke bahaane six nokraaniyon ko bhej deti hein. vahaan-jahaan indra yagya ki teyaari ho rahi thi. Prabhu ki Achintya Shakti Yogmaya yasoda ji ko makhan nikaalne ka saara kaam akele karne ka avasar dene ke liye, yasoda ji ke ghar ki Daasiyon ki budhi apne anusaar kar leti hein. Prabhu Sabha Bhavan me dorkar aate hein, prantu udhar koi bhi dristi gochar nahi hota he. Shri Krishna dusri or bhaagna suru karte hein. jinse bhay bhi bhaybhit hota he, vo va

Daamodar Lila little Krishna story

चित्र
Shri Yasoda ji ko Makhan nikaalne ka sabhi kaam_ Dudh duhane se lekar, Dudh otne,joran daalkar dahi jamaana,jame dahi ko mathkar makhan nikaalna ka sara karya ghar me akele karne ka avasar hi nahi mil paata tha, chunki Ghar me anek Nokraaniyan thi, iske alaava Shri Rohini ji ke Prem- Aagrah se vivash hokar makhan nikaalne ke kaam me sahaaytaa leni parti thi. aaj moka milne ki vagah se, Subha- Subha teyaar hokar makhan nikaalne ka kaam suru karti hein. tan se Prabhu ke liye Navnit nikaal rahi hein,man se chintan kar rahi hein, vaani se pahale ki hui lilaon ko gaa rahi he_ is parkaar tan-man-vaani tino se shri Krishna ko yaad kar rahi hein. jo suyam parmesvar ka avatar he. jab koi tan,man,vaani se parmaatma ko yaad karta he ve jag jaate hein, isiliye kanha bhi uth gye the. makhan khaane ke liye machalne lage the. apna kaam chhorkar yasoda ji apne laal ko dudh pilaane lagati he. achaanak yasoda ko dhyaan aata he ki me chulhe me dudh garam karne ke liye rakhi hui th