संदेश

जून 27, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Gopiyon ka Shri Krishna ke visya me baat karna

चित्र
Ari sakhi:hamne to aankh vaalon ke jivan ki or unki aankhon ki bas,yahi-itni hi safalta samghi hein;or to kuchh hame maalum hi nahi he!vah kon sa laabh he? vah yahi he ki jab syam Sundar Shri Krishna, Gor sunder Balram ji or Gop Baalkon ke sath Gaayon ko hak-kar van me le ga rahe hon  ya lotakar ghar la rahe hon, us samay unhone apne adhar par murli dhar rakhe hon, ham sab unki rup maadhuri ka paan karti rahe  Ari sakhi jab ve aam ki nayi kople,moro ke pankh,fulon ke guchhe,rang-birange kamal or kumud ki maalayein dhaaran kar lete hein,shri Krishna ke sarir par pitaamber or Balraam ji ke sarir me nilaamber faraane lagta he,tab unka vesh bara vichitr ban jaata he . Gvaal Baal ki mandali me ye dono bicho bich beth jaate hein or sangit ki madhur taan chher dete hein!meri pyari sakhi!us samay asaa jaan partaa he ki do chatur abhineta rangmanch par abhinaye kar rahe hon, ari gopiyon:yah Venu purus jaati ka hone par bhi

Shri Krishna ki Daavaanal paan karne ki Lila

चित्र
Ak din Shri Krishna or Gvaalbaal khelne me, itne mast ho gye the ki unko, Gaayon or Bachharon ka mungatavi name ke gahan van me pervesh karne ka pataa bhi nahi chal paya tha. Shri Krishna, Balram ji Gop baal un sabke Pad chinho or daat se kaati hui ghaas ki sahaayta se Gaayon or Bachharon ke nikat chale gye the, prantu ve sab sarkando ke jaal me fas gayi thi, jisme se nikal nahi pa rahi thi. Shri Krishna ki Madhur dhvani sunkar aasaani se jaal se mukt ho gayi thi, tabhi achaanak bhayankar aag lag gayi thi. Sabhi Shri Krishna se bachaane ke liye praathanaa karne lage the. Prabhu sabke apne apne aankhon ko band karvaake, agni ko pi gye the. apne apne netro ko band karte samay, sabke sab, yahi soch rahe the ki hamaara Kanhaiya Agni, Vish aadi ke shaanti ke sambandh me, anek Mani mantr,Mahaoshadhi ke anek prayog jaanta he, isi ki madad se hi ham sabka kanu bare bare Danvon ko maar daala tha isiliye isne aankho ko band karne ke liye bola he chunki yah prayog akaant me hi safal hota he. Prab