संदेश

Shri Krishna Lila लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Uddhav ka Nand ji or Yashoda ji se milna

Nand ji Uddhav se milkar, unko bade pyar se gale se lagaate hein, jab ve bed par bethte he, tav unko vibhinn prakar ke suvaadist- suvaadist bhojan karvaaya jaata hai, iske baad nand ji ke nokaro duvara per dabaakar or pankha jhalkar thakaavat dur ki jaati he . Nand ji uddhav jise bole param- bhaagyvaan uddhav ji humare mitr vasudev ji jail se mukt ho gaye he, ab ve apne aatmiye- suvajano or apne putro ke sath honge, ve sab sakushal he n? Accha hua mahapapi kans apne sathiyon ke sath mara gaya, vah sada sajano ko sataya karta tha, atyaachari raja tha . Uddhav ji aap yah bataaiye ki Krishna hum sabhi ko yaad karta he n? Kya ve hum sabse milne ak baar aayenge, yadi aa jaate to hum log unki sughad naak, madhur muskan, manohar chitvan se yukt chehara to dekh lete. Shri krishna ka hridya uddaar he, unki shakti anant he . Unhone hum sabhi ko anek sankaton se bachaaye hein, indr ke prakop se,mughe ajgar se, kaaliyaanaag ke vish se,jangalo me lagi aag se . Hum sabhi uski sabhi lilaon ka mun se

Shri Krishna Duvara Uddhav ko Braj bhejna

Saakshaat Paripurntam Bhagvan Shri Krishna_ Yashoda maiya,nandbaba, apne mitron, gopiyon,apni praanadhar shri radha or brajvaasiyon ko yaad kiye the, atha ak din akaant me apne dost uddhav ko bulaakar, prabhu premgadgad vaani me bole ki sakhe tum brajmandal me jaao, mera ak patr yashoda maiya,dusra patr nand baba ko dena,tisra patr meri sabse priye radhika ko uske bhavan me jaakar patr dena,choutha patr mere mitro ko kushal samachar nivedan karte hua dena,is tarah atyant mohit hui gopiyon ke croro samuh ko alag- alag patr dene he  . Mere Pita Nandraaj bare dayaalu he, unka mun mujhme hi laga rahta hai or meri maiya yashoda jaldi hi apne paas bulaane ke liye mera ismaran karti hai, in sabhi ko tum apne karmo or vaani se aanand pradaan karna. Meri Gopiyan mere virah ki vyaadhi se bahut hi dukhi ho rahi hai, unhe mera sandesh sunaakar us vedna se mukt karne ki koshish karna,pyare uddhav gopiyon ka mun har pal-har din mujhme hi laga rahta hai,unke praan,unka jivan,unka sab kuchh mei hi hun

Panchjan Daavav ka is yoni me aane ke karan

Bhagvan Shri Krishna ke haatho me sushobhit hone vaale sudarshan chakra,gadaa or shankh aadi me chetna hoti hai. Bhagvan Shri Vishnu ke haath me, hamesha rahane ke karan or bajaane par, unke otho ko baar- baar chhune ka avsar milne ke karan, shankh ko abhiman ho gaya tha ki mujhe_ shri hari sadaa apne hatho me pakre rahte hai, mera rang raajhans ke samaan safed he,me dakshinaa- aavart shankh hun,yudh me jitne par narayan mujhe bajaaya karte he. Suyam Dhan ki Devi Lakshmi ko bhi prabhu ke otho ka ras pine ko nahi milta he,  use me pita rahta hun, mera sobhaagy devi lakshmi se bhi badhkar he, me sabse shresth hun . Shank ki baato ko sunkar, devi lakshmi ko uspar bahut krodh aaya, unhone use abhisaap di thi ki durmate_ tu daanav ho ja, devi lakshmi ke itna kahate hi, vah divya shankh raakshs ban gaya tha. Maafi mangne par, shri vishnu ke aathve avatar_ shri krishna rup me, is yoni se mukti milne ka vardaan mila tha  .

Shri Krishna or Balram ji duvaara apne Guru ko guru- dakshina dena

Shikshaa puri karne ke baad, shri krishna apne guru se bolte he ki aapka jo mun kare, guru dakshinaa maang lijiye. Saandipni muni in dono bhaiyon ki adhbhut- mahima or alokik- budhi ko jaan liye the, isiliye unhone apni patni se salaah lekar, nirnay liye ki prabhaas kshetr me, humara jo baalak, dubkar mar gya tha, use vaapas ,guru- dakshinaa ke rup me maanga jaaye. Shri Krishna or Balram ji ko, unke guru aagya dete he ki unko dakshina me, unka mara hua putr, vaapas chaahiye, jo prabhaas kshetr me samundr me dubkar mar gaya tha. Shri Krishna or Balram ji atyant saahasi,nidar, shaktishali the, rath lekar prabhaas kshetr me jaane ke liye chal diye the. Kuchh Samay tak samundr ke kinaare bethe rahe, shri Krishna ke sarir se nikalne vaale alokik prakash or sugandh se samundr jaan gaya tha ki, suyam parmatma shri Krishna mere tat par bethe hua he. Sumundr Puja ka samaan lekar prabhu ke paas aakar pahale unki istuti ki fir puja kiya. Shri Krishna Bhagvan samundr se bole ki tumne apni bari- ba

Shri Krishna ki Shiksha praapt karne ki Lila

चित्र
Vasudev ji apne Purohit Gargacharya ji or anya brahmano ke duvaara, apne dono putron ka duijaati samuchit yagopavit sanskar karvaaye the, in sabhi ko vividh prakar ke kapde, jewelries,dakshinaa,bachhare vaali asi gaay diye the, jo sone ka abhushan pero me,gale me pahane hui thi sath hi sath,seing me bhi sone ka cover laga hua tha,pith par bahut sunder mulyvaan kapda bhi udhaayaa gya tha, dudh bhi bharpur deti thi, iske alava vasudev ji apni saatvi or aathaavi santaan ke ganam nakshatr me jin gaayon ka daan karne ka sankalp kiye the, unko kans chhin liya tha, ab kans ke marne par, ve sabhi gaaye praapt ho gayi he, jinhe mathura ke dust raaja ne anuchit bal prayog karke chhin liya tha. Iske Baad Shri Krishna or Balram ji ujjain me nivaas karne vaale kaasyap gotr sandipni muni se chosath ( 64 )din me chosath (64) kala sikh liye the. Ye Dono bhai tan- man se apne guru ki seva karte the, yadhapi inhone hi in kalaaon ka nirman kiye  hein, fir bhi sikh rahe the_ taaki logo ko sikh mile ki gur

Kans ke bhaiyon ka pichhala Ganam

Kuber ji ki raajdhaani alkaapuri me devyaksh naam ka ak dhaarmik,dayaalu yaksh rahta tha, jiske aath putr the, jinke naam Devkut, Mahagiri,Gand,khand,Akhand,Prachand,Prithu or dand tha. Ak Din inke pita ne in sabhi ko, Shiv ji ki puja ke liye ful laane bheje the, inlogo ne shiv ji ki puja me chadhaane vaale fulon ko sungh liye  the, jiske karan mata parvati krodhit hokar agle ganam me dust ki sangati prapt karke, rakshs ho jaane ka abhishap di thi. Maafi maangane par, Balram ji ke sath larkar, unse mukti prapt karne ka vardan mila tha.

Kans ke pahalvaano ka pichhala Ganam

Amraavtipuri me utathya name ke muni rahate the, jo ak brahman the, unke paanch atyant sunder putr kusti karte the. Ak din utathya ko apne beto par atyadhik krodh aaya ki brahman ke dharam ko chhorkar kshatriya ke dharam ka palan kar rahe ho, pahalvaani kar rahe ho, tum paancho ke paancho ko mene tumlogo ko kitna samjhaya tha ki brahman ka dharm dhaarmik pustako ko padhna,puja paath karvana,tap karna, indriyon ko apne niyantaran me rakhna he, kusti karna nahi hai, fir bhi tumsabhi ne meri baat nahi maani he, atha agle ganam me bare hokar, pahalvaan banana or daanvon ki sangati se daanv ban jaana. Abhisaap milte hi paancho ke paancho apne pita ke per chhukar, maafi maangane lage the. Maafi maangne par bhagvan Shri Krishna or Balram ji se kusti me larkar, unke hathon se uddhaar hone ka vardaan mila tha.

Kubja ka pichhala Ganam

Shri Ram ji panchvati me jis samay, Sita ji or lakshman ji ke sath samay vyatit kar rahe the, usi samay surpnakha name ki ak rakshsi Shri Ram ji ki trilok mohini sundarta ko dekhar, unke paas jaakar boli ki me aapko pati rup me paana chaahati hun. Shri Ram Ji se, jese hi yah jaankari mili ki ve ak patnivart ke palan me tatpar hein, ataha inke mun me dusri naari ke prati moh nahi he, vese hi vah Sita ji ko khaane ki liye unki taraf bhaagi, Lekin lakshman ji bich me aakar, tikhi dhaar talvaar se uske kaan or naak ko kaat diye the. Surpnakha krodhit hokar, roti_ roti ravan ke paas jaakar, juth bolkar shri ram or lakshman ji ke baare me, khub bharkaati he, iske baad puskar tirth me khinn mun se jaakar, jal me khadi hokar, dus hajaar varsho tak mahadev ji ki aaraadhana ki thi. Shiv ji uski tapsya se prasan hokar, usko vardaan maangne ke liye bole the. Vah boli ki devo ke dev mahadev, aap sab parkar ki manokamna puri karne me asamarth hein, me shri ram ji ko sada ke liye apna banaana chaahat

Kuvalayapida Haathi ka is yoni me aane ka karan

Raja Bali ke ak vishal sarir vaala or powerful putr tha, jiska naam mandgati tha, jo shstr dhaariyon me sabse kshresth tha. AK din vah Shri_ rang_ nath ji ke yaatra me shaamil hone ke liye ghar se nikla tha. Yaatra me, vah apne hatho se logo ko giraakar, unko kuchalta ha raha tha. shaktishali hone ke Karan koi bhi virodh nahi kar paya tha. Usi yaatra me trit muni bhi saamil the, ve bhi mandgati ke haath se chot lagne par niche gir gaye the. Girte hi unhone mandgati ko abhisaap dete hua bole ki durbudhi tu haathi ki tarah mad se unmat ho raha hai isiliye haathi ho ja. Mandgati ke duvara kshamaa maangne par, shri krishna bhagvan ke haast kamal(haathi se) se uddhaar hone ka vardaan mila tha.

Shri Krishna ki Shiv ji ke Dhanush ko bich se torne ki lila

चित्र
Bhagvan Shri Krishna ji ko, bhraman karte- karte raaste me, kuchh vesy dikhaai diye jo prabhu ko apne nikat dekhkar, un sabhi ne paan,ful,fal,itr or dudh se shri krishna or balram ji ka pujan kiye the. Shri Krishna un logo se puchhate hein ki yagya me prayog hone vaale dhanush ka isthaan kahaan hai? Vesyo ko dhanush ke tute jaane ki aasankaa hui isiliye un sabne kahaa ki hume nahi jaante hai, lekin kuchh logo ne murli manohar ke rup,gun or maadhurya se prabhaavit hokar, unhone dhanush, jis yagya mandap me isthaapit, chaturthi ke din, puja karne ke baad isthaapit kiya gya tha, us dhanush rakhe hua isthaan bataa diye the, jo bahut vishal mandir tha. Shri krishna us dhanush ki rakhvaali karne vaalo se bole ki me is dhanush ko uthaanaa chaahataa hun. Nandnandan ki baat sunkar vahaan log huskar, kahane lage ki bare- bare pahalvaan ise uthaane me asamarth hein, yah chhota sa sukumaar baalak ise uthaayegaa, jisko paanch hajaar dehik rup se shaktishaali log milkar hi ak isthaan se dusre isthaa

Shri Radha, Krishna ki Holi manaane ki Lila

चित्र
Shri Radha ji ki sakhiyaan boli, hum sabki pyaari sakhi raadhe_ humlogo ki ak baat suno, ye brajbhushan- nandnandan or unke sakha log tumhari barsaana nagri ke bagiche me, holika utsav vihaar karne ke liye aa rahe hein, sobha sampann yovan (javaani) ke mad se mat unke chanchal netr ghum rahe hein, ghungharaale- ghungharaale unke kaale baal, unke kandho or gaalo ko chum rahe hai, sarir par pile rang ka pejaama atyant sundar lag raha he, unke charan kamal se sangitmy nupuro ki aavaaj aa rahi he, unke mastak par savere nikle hua suraj ke prakash ke samaan kaantimaan mukut he, sundar pitaambar or aabhushano se bahut-bahut- bahut sundar lag rahe hein, is dhara par pitaambar pit prabha ke prakash se sushobhit, unka shyam- kaantimandal, usi prakaar utkrisht shobha pa raha he, jese aakash me indr dhanush se yukt meghmandal sushobhit hota he, abir or kesar ke ras se yukt, unka saara ang lipt he, unhone haat me nayi pichakaari le rakhi he holi utsav manaane ke liye  ve tumhara hi intajaar kar ra

Kans ke Dhobhi ka pichhala Ganam

Shri Ram ji ke shaashan kaal me, ak dhobhi rahata tha, jo apni patni se bol raha tha ki tu dusre ke ghar me rahakar aayi hai is karan me tujhe nahi apnaaunga, me maharaj ram ki tarah nahi hun, jo naari ke moh me, uske saare apraadh ko kshama kar de, maharani sita ravan ke yahaan rahkar aayi hein, is baatchit ko prabhu ke guptchar sun liye the, jaakar raja ram ko bataa diye the, ye guptchar praja ki mano vriti or sukh_ dukh jaanane ke liye bhesh badalkar ghumte  the. Dhobhi duvara apni patni ko kahi hui baat jaankar, shri ram ne janak nandani ka tyaag kar diye the. Yahi Dhobhi Shri Krishna avatar me ganam lekar, fir se kapre dhone vaala bana tha. Isne Devi Sita ke liye jo galat baat bola tha, jiske karan ak dosh utpann ho gya tha, Is Dosh (paap)ki shaanti ke liye, isko shri krishna avatar me maarkar uddhaar kiye the.

Shri Krishna or Balram ji ke darshan mathura_vaasiyon ko hona

चित्र
Shukdev ji bolte hai ki parikshit bhagvaan shri krishna jab,balram ji or gvaal baalo ke sath raajmaarg ke raaste se mathura nagri me pravesh kiye the, tab us nagar ki sabhi naariyaan, bari utsukta se unhe dekhane ke liye jitni jaldi ho sake chhat par chadh gayi thi,kuchh jaalidaar- jharokho ke chhed se,koi -koi divaaro ki ot se,koi khirki par lage hua parde hataakar or kuchh nariyan darvaaje kivaaro se bahar nikalkar ghar ke chabutre se unhe dekhne lagi thi, saare kaam -kaaj chhorkar unhe dekhane ke liye is prakaar bhaagi,mano samundr ki taraf nadiyan bhaag rahi ho. Jaldi ke karan apne kapre or juwelri bhi ulte pahan li thi ,kisi -kisi ne bhul se kundal,kangan aadi jode se pahane jaane vaale aabhushano me se ak hi pahankar chali aayi thi,kai ramniyaan to bhojan kar rahi thi ,ve haath ka kor fekkar ,chal padi thi,koi -koi ubtan laga rahi thi,ve bina isnaan kiye doude chali thi,koi koi apne bache ko dudh pila rahi, use pura pilaaye bina hi shri krishna ji ka darshan karne ke liye bhaagi

Shri krishna and Yashoda Ji

Puri Raat Nand ji yashoda ji ko samjhaate rahe the, parantu apne laal ko mathura bhejne ke liye teyaar nahi thi. Ve nand jise bol rahi thi ki_ krishna ka hum dono milkar paalan- poshan kiye hein, kya Krishna par hum dono ka   thoraa sa bhi adhikaar nahi he? jo use mathura jaane se rok paaye. Nand ji bolte hein ki use bhejna meri vivasta he. Krishna ko ganam dene vaali maa ne humse apne pati ki jaan bachaane ke liye, apne putr ko maangi he ki_ mere putro ko mughe lota do- mere putro ko mughe lota do, me apne putro ki aap dono se bhik maangati hun, isiliye krishna or balram ko jaana hi padega. Shri yashoda ji bolti hein ki aap nahi jaante hein ki apne laal se kuchh samay ke liye dur hone par meri kya dasaa ho jaati he, ab to mera kanha mathura ja raha hai, n jane usase mera milna kab ho paayega? aap nahi jaante or samaghte hai ki mughse kya tyaag karne ke liye bol rahe hein. Nand ji bolte hein me sab jaanta or samaghtaa hun, parantu kya karu me vivas hun- me  vivash hun, bolkar fut futka

keshi daanav ko is yoni me aane ka karan

Ak baar ki baat hai vritraa-asur ka vadh karne ke baad_ brahm hatyaa ki shanti ke liye, indr dev ne asavmegh yagya karne ke baare me soche the, usme saamil ghora safed rang ka tha, jiske dono kaan shyam rang ke the . Indr ka anuchar kumud, jo devraaj ka anuchar tha, unpar chhatr lagaaya karta tha, uske mun me ghora par, chadhne ki kaamna utpann hui_ atha usne ghore ko churaakar, atal lok me chalaa gya tha. Indr Dev ke sevko ne use pakar kar, suvarg ke suvaami ke paas lekar gye the, jinhone use ghore ki raakshs yoni me jaana ja shaap diye the, maafi maangne par shri krishna ke duvaara mukti paane ka vardaan mila tha  

Keshi name ke Asur ki Mukti

चित्र
Shri Shukdev ji kahate hai ki Parikshit kans ne jis samay_ keshi deitya ko braj me bhejaa tha, vah bare bhaari ghoure ke rup me, mun ke samaan veg se dourtaa hua, brajpur me aaya tha. Vah apni taapo se dharti khodataa hua aa raha tha, uski gardan ke chhitraaye hua balo ke ghatke se aakash ke baadal titar bitar ho rahe the . Uski bhayaanak hinhinaahat se sab dar rahe the, uska sarir atyant vishal tha, bari moti gardan thi, uske chalne par dharti kaapne lagti thi, vah Shri Krishna ko maarne hi aaya tha. Jab Bhagvan dekhe ki iski hinhinaahat se unke aashrit rahane vaala gokul bhaybhit ho raha hai or vah larne ke liye unhi ko khoj raha hai, tab ve aage, badhkar, uske saamne aa gye the or unhone sinha ke samaan garajkar, use lalkaarne lage the  Bhagvan ko saamne aaya dekhkar, vah or bhi chidh gya tha tthaa unki taraf is parkar mukh felaakar bhaaga maano_ gagan pi jaayega. Parikshit keshi ka veg bara prachand tha, uspar vijay paana to kathin tha hi,use pakarna bhi sar

Arista-asur ka pichhala Ganam

Ak baar ki baat hai_ Dev- Guru Vrihaspati ke paas, unka shisya_ vartantu- brahman padhane ke liye aaye the, parantu apne guru ke saampne_ vah per felaakar beth gya tha, jiske karan devguru ko krodh aa gya tha, unhone use sharaap diye ki murkh,tu mere aage bel ki tarah bethaa he, isase mugh guru ka apmaan hua hai, durbhudhe isliye tu bel ho ja. maafi maangne par_ Shri Krishna ke haatho, uddhaar hone ka vardaan mila tha . Prabhu ke haath se markar_ vah apne pahale vaale brahman ke rup me aakar, govind ki istuti karke, apne lok chalaa gya tha.

Arishtaasur ka uddhaar

चित्र
Shri Shukdev ji Parikshit ji se kahate hai ki jis samay Shri Krishna braj me pravesh kiye the or vahaan aanand utsav manaaya ja raha tha, usi samay ak rakshs bel ka rup dharan karke, aaya tha.  Uska sarir bahut bahut vishal tha, vah apne pero ko itne jor se patak raha tha ki usase dharti kaap rahi thi. Vah bare jor se garaj raha tha or pero se dhul uchhaalta jaata tha, punchh khari kiye hua tha or singo se divaar or kheto ki mend ko tortaa jaata tha, bich- bich me mutataa or gobar bhi chhorta jaata tha. Aankhe faarkar, idhar udhar dekhakar dor raha tha, uske jor se hakarne se_ nisthur garjanaa ke dar se_ istriyon or gaayon ke tin chaar mahine ke garbh istravit ho jaate the or paanch chha mahine ke gir jaate the. Uska atyant vishal sarir baadal ko chhu raha tha, ise dekhkar sabke sab bhaybhit ho gye the, jaanvar dar ke karan apna isthaan chhorkar bhaag gye the, us samay sabhi brajvaasi shri krishna- shri krishna hume is bhay se bachaao_ pukaar rahe the, yah bolkar sabhi log prabhu ki sh

Shri krishna ke mukh me Nand ji ko sampuran Brahmaand dikhaai dene ki Lila

Ak din,Jis samay, Nand ji shaaligram ji ki vidhi vidhaan se puja karne ke baad aarti kar rahe the, usi samay Shri Krishna vahin khare hokar shanti se sab dekh rahe the, kintu jese hi aarti samaapt hui vese hi Shri Krishna bolte he ki baba tumne to itne saare bhog dharaaye,par shaligram ji kuchh khaaye hi nahi. Shri Krishna ke asaa khate hi yasoda ji apne laal ke mukh par haat rakh deti he, taaki vah bol n paaye. Yashodarani,jis samay shri krishna kolaahal karte hua, apne mitron ke sath Narayan Mandir ki taraf ja rahe the, usi samay yasoda ji bhi apne laal ke pichhe pichhe chal di thi_ is aasankaa se kahin mera chanchal Nilmani Brajesh ki puja me vighn upshthit n kar de. Shri Krishna raaste me saraarat karte aa rahe the, anya Balak to bahar se hi bhitar ki or jhaakkar dekhane lage the, prantu Shri Krishna bhitar chale gye the. Jab Yasoda ji or Nand ji apne putr ke kalyaan ke liye apni aankho ko band karke prathana kar rahe the, tab hi Shri Krishna ji dhire se chori chupke Shaligram ji k

Yugal Geet

चित्र
Gopiyan ak dusre se bolti hai ki Ari sakhi! apne premi jano ko prem ka vitran karne vale or apne satruon tak ko bhi mukti pradaan karne vaale_ hum sabke Shyam Sunder Natnaagar jab apni eyebrows matkaate hua, baasuri ko apne adharo par lagaate hua,  sukumar anguliyon ko iske chhidro me firaakar, madhur taan chherte hein_ us samay Sidh  patniyaan apne patiyon ke sath apne vimaan me aati hai, is taan ko sunkar chakit or vismy ho jaati hain, pahale to unhe patiyon ke saamne mun ki asi dasaa dekhkar sharam aati he prantu palbhar me unka mun Shri Krishna ke prati kaam bhaavna se bhar jaata he. Ve vivash or achet ho jaati hein, unko kisi baat ka hos nahi rahta he, unki nivi khul jaati he jiske karan unke kapre niche khishak jaate hein. Ari Gopiyon tum aaschary ki baat suno_ ye nandnandan kitne sunder hai? jab ve haste hein_ haasy rekhaayein haar ka rup dharan kar leti hai, daant safed motiyon ki tarah chamakte hein. Ari veer unke gale me laharaate hua har me haasy ki kirne chamkne lagti hai,