Shri krishna and Yashoda Ji

Puri Raat Nand ji yashoda ji ko samjhaate rahe the, parantu apne laal ko mathura bhejne ke liye teyaar nahi thi.
Ve nand jise bol rahi thi ki_ krishna ka hum dono milkar paalan- poshan kiye hein, kya Krishna par hum dono ka   thoraa sa bhi adhikaar nahi he? jo use mathura jaane se rok paaye.
Nand ji bolte hein ki use bhejna meri vivasta he.
Krishna ko ganam dene vaali maa ne humse apne pati ki jaan bachaane ke liye, apne putr ko maangi he ki_ mere putro ko mughe lota do- mere putro ko mughe lota do, me apne putro ki aap dono se bhik maangati hun, isiliye krishna or balram ko jaana hi padega.
Shri yashoda ji bolti hein ki aap nahi jaante hein ki apne laal se kuchh samay ke liye dur hone par meri kya dasaa ho jaati he, ab to mera kanha mathura ja raha hai, n jane usase mera milna kab ho paayega? aap nahi jaante or samaghte hai ki mughse kya tyaag karne ke liye bol rahe hein.
Nand ji bolte hein me sab jaanta or samaghtaa hun, parantu kya karu me vivas hun- me  vivash hun, bolkar fut futkar rone lage the .
Jabse, Akrur jise, yashoda jiko, Shri Krishna ke baare me pata chala, tabse ve lagaataa fut futkar ro rahi thi.
Shri krishna apni yogmaya ko aagya diye ki tum, meri maiya ki budhi, meri lila ke anukul kar do, prabhu ki yogmaya ki Shakti se, shri yashoda ki budhi palat jati hai.
Shri yashoda ji lagaataar rokar, dharti ko apne aansuon se bhigo rahi thi.
Apne laal ko vida karne se pahale, makhan or roti, yah bolkar khilaane lagi ki aaj se tu mathura ja raha he, pata nahi tughe makhan roti or misri khilaane ka avasar mile ya n mile.
Shri Krishna bolte hein ki maiya, vahan meri soch, Teri tarah pyar se mujhe bhogan kon khilaayega.
Devki khilaayegi tughe prem se apne haath se bhogan
Shri krishna bote hein teri tarah pyar koi nahi karega maiya.
Shri yashoda ji mun hi mun bolti hein mere jesa vaatsaly prem koi nahi kar sakta he, vidhaata ki ikshaa ke aage sab vivash ho jaate hein, tumhe bhejna meri vivasta he, apna hridya patthar ka karke, tumhe mathura bhej rahi hun, saayad mere prem ki aayu itni hi thi. 
Shri Krishna or balram_ Shri Yashoda or Nand ji ka charan chhukar, aashirvad lete hein.
Nand ji ko bhi rona aa raha he, parantu ve kisi tarah apne aanshuon ko roke hua the, ve soch rahe the ki agar me rone lagunga to yashoda ko kon sambhaalega?   
Shri Yashoda ji akrur se bolti hein ki devki se bolna ki subha -subha kaanha ko makhan me misri daalkar roti ke sath khaane ki aadat he, Krishna ka ang-ang atyant komal he, isiliye thori si chot lagne par use bahut dard hota hai, galti karne par pyar se samghaa degi, mene kabhi krishna ko mara nahi he, sadaa apne hridya se lagaakar rakhi hun .
Jab Akrur ji rath ko lekar, thora aage badh jaate hein, tab yashoda ji mun hi mun sochati hai ki kya mera kanha mughe ismaran karega?
Shri Krishna rath par bethe- mun hi mun bolte hein ki, maiya saara sansaar, sadaa tumhe, meri maiya kahakar, sambodhit karega.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4