Kaliya naag Daman Lila little Krishna story
Kaliya naag, Shri Krishna ke sabhi ango par dasne ki kosis anek baar kiya tha. jab usne dekha ki is baalak par vish ka parbhaav nahi ho raha he, tab usne Prabhu ko apne vishal sarir me lapet liya tha. yah dekhakar Gop baalak behos ho gye the . bhayankar apsagun ho raha tha, jise dekhakar sab sochane lage ki, ham sabke jivan dhan kanha kushal mangal se he n, kahin asaa to nahi he ki fir se kisi rakshs ne aakraman kar diye ho? sabke sab ghar chhorkar Shri Krishna ko dhundhate- dhundhate, Prabhu ke Charan chinho ki sahaayta se, kaliya naag ke nivaas isthaan ke paas aa gye the. sabse pahale Nand ji yah kahakar murchhit hua the ki haay mere laal, tu to mughe atisay pyaar karta tha re ,tu sahasaa asaa dusshaas kese kar gya? mughase pahale tu chala gya. iske baad sabhi Gop chetna hin ho jaate hein. Yasoda ji, Rohini ji, Gopiyon ko Prabhu ke bina tino lok sunaa- sunaa lag raha tha. ve sabhi kaliya naag ke nivaas isthaan kund me kudna suru karti hein, Balram ji Balpurvak un sabko rok lete hein. Yasoda ji bolti hein ki mera laal ham sabko akele chhor kar nahi ja sakta he vo to hamlogo se bahut pyaar karta tha. koi Gopi bol pari tabhi iske mukh par mand muskaan he. nand ji or gop log bhi hos me aakar, kaliya naag se, Krishna ko bachaane ke liye, vishele kund me kudne ki kosis karte hi, Balram ji un sabko samghaa-bhughaakar rok lete hein. jab Shri Krishna dekhate hein ki mere liye ye sabhi bahut dukhi hein tab ve apne sarir ko, kaliya naag ke sarir se, hajaar gunaa adhik vridhi karke, us dust ke bandhan se suyam ko chhuraa lete hein. Prabhu duvara apni deh ko ati vishal karne ke bare me kisi ko pata bhi nahi chal paya tha . krodh se aag babulaa hokar, apna Fn unchaa karke, fufkaare maarne laga tha. avasar milte hi Shri Krishna par hamla karne ke liye, vo lagaataar dekh raha tha. apni jib laplapaakar apne hoth ke dono kinaaro ko chaat raha tha. Prabhu uske sath khelte hua, pentraa badalne lage the. vah bhi apne hisaab se pentraa badalne laga tha. asaa karte karte kaliya naag atyadhik thak jata he, tab Shri Krishna uske seer ko thora dabaakar, uchhalkar, uske seer par savaar hokar, nachana prarambh kar diye the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें