संदेश

Krishna Ganam लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Prabhu avataran part 3

Dharti par Prabhu ke prakat hone par Brahmano ki YG ki Agni apne aap jalne lagi jo Kans ke atyachar se bhujh gayi thi. ab mujhe tripti milegi ye sochkar Agni Dev prasan ho gye iske alava yah sochkar bhi khush ho gye ki prabhu meri Shakti se pakaya bhojan khayenge. Varun Dev soche ki majhe bhi Prabhu ki seva karne ka moka milega isi soch ki vagah se sabhi Nadiyon, Talabo,kuon aadi ka pani nirmal ho gya tha. sarovaro me rat ke samaya bhi Kamal khil rahe the. bhoure gunguna rahe the. vayu ne socha ki mere dvara bhi Prabhu ki seva honi chaiye isliye manbhavan vayu chalne lagi. prithvi yah soch sochkar prasan ho rahi thi ki prabhi mere upper apne Charan Kamal rakhenge, alokik lila karenge yahi sochkar dhara ne bhahut prakar ke rang birange fulon se khud ko sajaya. Aakash ki akta,aadharta vishalta ttha samta ki upma hamesa se hi Bhagavan ke sath di jati he abse Prabhu ke rup rang ki bhi upma di jayegi kyunki Aakash ka or Prabhu dono ka rang ak saman he ye sochkar Aakash ne taron rupi sunder

Prabhu avataran part 2

Prabhu sadharan Balk ka Rup le liye. karagar me Devgn prakat hokar Bhagavan ke Sdguno ka gungan kiyein iske bad Vasudev ji Prabhu ko lekar Gokul ke taraf chalne lage. Yamuna ke us par jana tha musladhar pani baras raha tha. Nadi me pani labalab bhara tha. Yamuna ji ne sochi ki jb tk Prabhu apne Charan Kamal mere jal me nahi dalenge tb tk inko rasta nahi dungi. Antaryami Dinbandhu ne Yamuna ji ke jal me apne Charan ko dal diyein. rasta milne par Vasudev ji asani se chalne lage. Sesnag ji chhata ban gaye the. Gokul pahuchkar Prabhu ko yasoda ji ke pas sulakar unki kanya ko le aye. karagar me aate hi vah kanya rone lagi. aavaj sunkar Kans paglo ki tarah bhaga bhaga aaya  uske bal bikhare hua the, raste me kai isthan vah girte girte bacha tha. kans ne socha ki jarur is bar mujhe marne vala ka hi ganam hua he, usne kanya ko jabardasti Devki ji se chhinane laga. apne bhai se boli ki Bhaiya ise mat maro yah to kanya he jo tumhare Putri ke saman he. aapne mere sabhi Surya ke saman tejsavi balk

Krishna avatar

Vasudev ji ke mn me Bhagvan apni sabhi kalaon ke sath prakat ho gayein jiski vagah se ve Surya ke saman tejsavi ho gayein the koi unhe kisi bhi parkar,kese bhi karke daba nahi sakta tha. Vasudev ji ne mn me dharan ki hui Prabhu ki Jyoti ko Devki ji ke grabh me pradan kiya. Prabhu ke grabh me aane par Devki ke chehre par anokha, Anupam tej tha jiski vagah se karagar me sabhi isthan Prakash hi Prakash ho gya. Kans ne socha ki Devki phale asi to nahi thi jarur is bar majhe marne vala ganam lene vala he. pharedvaro dvara karagar par najar Din ke sath sath Rat me rakha jata he. dhere dhere nva mahina pura hua. Bhagvan ke prakat hone ka samay aa gya tha. Prabhu Devki ji ke grabh se prakat huan. Vasudev ji ne dhekha ki unke samne ak adbhut balk he giske netra kamal ke saman komal or vishal he. charo hato me Sankh, Chakra, Gda or Kamal he. chhati par Shri Vats ka nisan he jo bhut sunder suvarnmayi rekha he. Gle me koustubh mani pahane hua hein jo jugmug jugmug kar rahi thi. varsakalin megh ke