संदेश

मार्च 28, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Vyomasur ka Uddhaar

Ak din Prabhu apne Mitron ke sath Bher, Bheria or Rakshas ka khel khel rahe the. ak rakshs Gop baalak ka rup banaakar unke bich shaamil ho gya tha. khel me vah Bheria bankar Gop baalkon ko le jaakar, Parvat ki kandara me rakhakar uske duvar ko shilaa se band kar deta tha. antaryaami se kya kuchh chhipaa rah sakta he? uddhaar ke nischit samay me hi Prabhu Danvon ko markar unko mukti pradaan karte hein. shri Krishna us dust ko bahut jor se pakarkar, dharti par gira diye the. uski naak or mukh par anguli rakhkar, praan vaayu aane jaane ke marg ko rok diye the, jiske karan uski mrityu ho gayi thi. Gardan marorkar niche shila khand par patak diye the. uski aatma nikalkar Prabhu me sama gayi thi. Devgn Fulon ki Varsa karne lage the. Us Asur ke pero se bane Nisan se, Prabhu sabhi gval baal ka pata laagakar, un sabko pahaar ki guphaa se aajaad karvaaye the .

Bakaasur ka pichhala ganam

Hygriv ka putra Utkal danav, Asuron ka samudaay lekar Sindhu- Sagar ke sangam ke tat ke paas gya tha, nikat Jaajli name ke Saint apne aasharam me rahte the, jo Utkal ko Machhaliyon ko marte hua dekh liye the. ve use baar-baar samjhaate the ki Matsyon ko nahi mar, phir bhi vah nahi mana, tab sadhu ne abhisaap diye ki tu Bagule ki tarah aacharan kar raha he isiliye tu Bagule ho ja. kshmaa mangne par, shri Krishna ke duvara uddhaar ka vardaan mila tha.

Bakaasur ka uddhaar

चित्र
Ak din ki baat he, sab Gvaal-baal apne jhund-ke- jhund Bachharon ko Pani pilaane ke liye srovar ke paas gye the. sabse pahale bachharon ko jal pilaya gya tha, baad me suyam piya gya tha. vahaan par sabhi ne atyant Vishal Bagule ko dekhe the. us dust ne jhapatkar Shri Krishna ko nigal liya tha, iske turant baad Balram or Gop baalak murchhit ho gye the. Dev samudaay chitkaar kar uthaa. Prabhu Bakaasur ka taalu jalaane lage the. jab jalan sahan nahi hui to usne Shri Krishna ko mukh se bahar kar diya tha. vah soch raha tha ki taap ke karan shri Krishna nahi bachega, prantu Prabhu uske mukh se sahi-salaamat bahar aa gye the. ab vah shri Krishna par chonch se prahaar karne laga tha. Prabhu ak haat se chonch ke upper ke hise ko pakarte hein or niche ke hise ko per se pakarte hein, chirkar us danv ka uddhaar kiye the.

Krishna and vatsaasur

Muru ka putr Parmil, jo ak Rakshs tha. Vasisth ji ki nandani name ki gay par mohit ho gya tha, jo bahut sunder thi. chhal se paana chaahataa tha. Brahman ka rup banakar unke aasharam me gya maangane. vasisth ji or unki gaay tejsavi the. dekhate hi pahachaan liye ki yah kon he. vasisth ji kuchh nahi bole, lekin nandani gay ne muru ke putr parmil ko bachhare ki yoni me jaane ka abhisaap di thi. maafi mangane par Krishna ke duvara tumhara uddhaar hoga" ka, vardaan bhi mil gya tha. yah sab bachharo se alag tha, isiliye Krishna ji ke bachharo jesa rup banakar unke bich samil ho gya tha.

vrindavan ko nya nivaas isthaan banaana

Bahut sare GOP surkshaa ke liye Dhanus-baan lekar chal rahe the. ak line me Belgari or kuchh Gayein tthaa Bachhare chal rahe the, kiyunki daaye- baaye me Vishal Bagichaa tha, bare-bare vriksh lage hua the, jiski vagah se do belgari ak pankti me nahi chal sakti thi. Yamuna Nadi ke tat par aate-aate raat ho gayi thi, isiliye yahin par aaram karne ke liye to-copy Gokul ke isthaano ki tarah kapre se banaya gya tha. jesaa Ghar, Goshaala,dukaan, Belgaariyon ko rakhne ka isthaan Gokul me bana hua tha vesaa hi jagah ka nirmaan vastra se kiya gya tha. shivir me sabko sab parkar ku suvidhaa prapt ho gayi thi. Nand ji ke prahari saavdhaan, sajag the. Gopiyan teyaar hokar, savere ki puja karke, Makhan nikaalne ka kaam suru kar deti hein, sath hi sath shri Krishna ki gayi lelaon ko gaati bhi jaati hein, jise sunkar yasoda ji uth gayi thi. hamesha pahale shri yasoda jagati thi, apne laal ke Chintan me kho gayi thi, isiliye baad me uthin. raat ke samay yasoda ji ne bari muskil se apne kanha ko thora

vatsasur ka uddhaar

चित्र
Ak Rakshs Bachhare ka rup banaakar, bachharon ke jhund me mil gya tha. shri Krishna or Balram ji use dhekhte hi, ,pahachaan liye the. uske paas ase aaye ki,  mano kuchh nahi jaante hein. aakar uske pichhe shri Krishna khare ho jaate hein. Danv sochata he ki, abhi is Krishna ko laat se maarkar sada ke liye sula dunga.  jese hi usne maarne ki kosis ki vese hi Shri Krishna ne uske pichhale pero or puchh ko pakar kar upper uthaakar chakraakar ghumaane lage the, jiske karan vah mar gya tha. uska vaastvik rup prakat ho gya tha, usase takraakar ak vriksh gir gya tha, iske girte samay bahut sare vriksh isase takraakar dharti par gir gye the.

Visvkarma duvaara atyant Vebhav shaali Nagar nirmaan

Visvkarma,three crore shilp visesgyon or Kuber ji ke anek anuchar aaye the, jinhone Subha hone se pahale hi bahut- bahut bahut- bahut sundar Nand ji,sab parivaar ke liye, alag-alag manmohak Bhavan, jiski sundarta ki kalpana man bhi nahi kar sakta he, ka nirmaan kiye the. in Ratnmy bhaanti-bhaanti ke maniyon se banaaye gye mahalon me sukh-suvidha ki sabhi vastuan thin. Subha uthakar jab sabne ise dekha to Nand ji bole yah mere Istdev Narayan ki kripa se nirmit hua he.

Shri Krishna ki Bachhare charaane ki Lila

Shri Krishna or unki Mitra- Mandali Subha ka Bhogan grahankar, khelne ke liye chige lekar, Gosth ke paas hi Bachharon ko charaate the. Gulel se Goliyaan or Dhelvaans se dhele fek rahe the. Gay or Bel bankar khel rahe the. saand bankar nakli sing se ak dusre par hamla kar rahe the. pasu-pakshiyon ki nakal kar rahe the. Kabhi Kabhi naach bhi rahe the.

Yamuna Nadi paarkar vrindavan gaman

Gayein or Bachhare terkar us paar pahuch gye the.  abhi abhi ganam lene vaale, nanhe-nanhe Bachhare ko Kushal teraak sath lekar, Yamuna Nadi paar kar rahe the. inhi teraakon duvaara Yamuna Nadi ke is paar se lekar us paar tak, kram se naav ko rakha gya tha. kaas,kus,sarkande or baas se naav ko aapas me joraa jaata he. nav rupi pul ka nirmaan ho jata he, jispar chadhakar Belgari ke sath sath sabhi log us paar aasaani se chale gaate hein. vrindavan ki dharti par aate hi, Shri Krishna or Balram ji apni-apni matao ke paas se, bahut tej gati se rath se kud pare. Mitra mandali ke sath Ghumne chale gye the. baad me Yasoda ji ki Dasiyaan dono bhaiyon ko lene gayi thi. aavaas parbandhakon duvaara aadhe Chandra ke aakaar me belgari ko is tarah rakha jaata he rahne yogya isthaan ban jaaye. jiski lambaai six kous or chouraai four kos thi . Nand ji bolte hein ki baaki bachaa hua kaam kal kiya Jayega, raat ho gayi he aaram kar liya jaaye.