संदेश

Shri Radha Krishna Lila लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Radha ji ki isnaan lila ka part _1

Shri Radha ji apne mahal me apne room  me nile rang ki bedsheet odhkar leti hui thi. Ankhe band ki hui thi,unko nind nahi a rahi thi,bagal me ak manjari apna per latkaakar bethi hui thi  Shri ji ki sakhiyan or manjariyan apne- apne kaam me busy thi_ koi ubtan teyar kar rahi he,koi chandan ghis rahi he,koi kisi katori me tel nikaal rahi he ,koi chhote bartan me to koi bade bartan me paani bhar rahi he,koi dant manjan katori me nikal rahi hai,koi kapda sukha rahi he,koi teyar ho rahi he,koi radha ji ke liye vastr nikaal rahi hai,koi tulsi puja ke liye saman ikathaa kar rahi he,koi raasesvari ke liye fulon ki mala bana rahi he,koi nikle hua bahut saare makhan ko vibhin prakar ke bartno me daal rahi he,koi vastuon ko vyavasthit jagah par rakh rahi he,koi dudh garam kar rahi he,kaam ke bich me jab jewelry se avaaj hoti tab in sabhi ko lagta tha ki shyam sunder aa gaye he. Radha ji ke room me lalita ji teyar hokar, shri ji se puchhati he ki nind aayi ki nahi sach sach batana? Kishori Ji gamb

Shri Krishna duvaara Shri Radha ji ki pariksha ke baad milan

चित्र
Shri Krishna duvaara li gayi pariksha me safal hone ke baad, Shri Radha or Shri Krishna lagbhag pratidin milte the . Shri Radha ji apni chhaaya ko Vrishbhanu ji ke ghar me rakh di thi, suyam Shri Krishna ke sath samay bitaati thi. Ak din kisi ki baraat Barsana aayi thi jisme saamil log Shri Radha ji ke mahal me ruke the , sabko mehndi lag rahi thi. Shri Radhe ji ko mehndi lagaane, Shri Krishna aa gye the. Sakhiyaan boli Shyam Sundar tumhe mehndi lagaana aata bhi he, jo hamaari priy sakhi ki mehndi lagaaoge? Shri Radha ji boli me to apne kanha se hi mehndi lagvaaungi  Prabhu shri Raasesvari ko bahut sunder mehndi lagaate hein 

Shri Radha Krishna meeting

चित्र
Ak Din Radha ji ki sakhiyaan Vishakha or Lalita, unke ghar aakar unse boli ki radhe tum jinka khud chintan karti rahti ho or apne aap gungaati ho,ve bhi pratidin Gvalbalo ke sath Barsana me aate hain. Radhe tumhe raat ke pichhale pahar me,jab ve Go chaaran ke liye nikalte hai,unka darsan karna chaahiye ve bare sunder hein. Radha ji boli pahale unka Manohar chitr banaakar, tum shighr mughe dikhaao, uske baad me unka darsan karungi_ isme sansay nahi he. Tab dono sakhiyon ne Shri Krishna Chandra ka bahut Sunder chitr banaai thi, jise dekhakar Shri Radha Ji bahut bahut khush hui thi, haat me rakhe hua photo ko nihaarti hui, aanandmagn hokar so gayi thi, unhone sapne me dekha ki yamuna ke kinare, bhaandir van me, Shyam Sunder Shri Krishna unke paas hi nach rahe hein. Bistar se uthkar Shri Krishna ka darsan karne ke liye chhatpataane lagi thi, itne me hi Shri Krishna Barsana ki patli gali me aa gye the, sakhi ne tatkaal khirki ke paas aakar, Sh