Shri Radha ji ki isnaan lila ka part _1
Shri Radha ji apne mahal me apne room me nile rang ki bedsheet odhkar leti hui thi.
Ankhe band ki hui thi,unko nind nahi a rahi thi,bagal me ak manjari apna per latkaakar bethi hui thi
Shri ji ki sakhiyan or manjariyan apne- apne kaam me busy thi_ koi ubtan teyar kar rahi he,koi chandan ghis rahi he,koi kisi katori me tel nikaal rahi he ,koi chhote bartan me to koi bade bartan me paani bhar rahi he,koi dant manjan katori me nikal rahi hai,koi kapda sukha rahi he,koi teyar ho rahi he,koi radha ji ke liye vastr nikaal rahi hai,koi tulsi puja ke liye saman ikathaa kar rahi he,koi raasesvari ke liye fulon ki mala bana rahi he,koi nikle hua bahut saare makhan ko vibhin prakar ke bartno me daal rahi he,koi vastuon ko vyavasthit jagah par rakh rahi he,koi dudh garam kar rahi he,kaam ke bich me jab jewelry se avaaj hoti tab in sabhi ko lagta tha ki shyam sunder aa gaye he.
Radha ji ke room me lalita ji teyar hokar, shri ji se puchhati he ki nind aayi ki nahi sach sach batana?
Kishori Ji gambhir mudra me muskakar, apne netro ko band kar leti he,tab lalita ji bolti hai ki kya nahi batayegi?
Radha Rani bolti he ki nind nahi aati he, kya karu,yah sunkar lalita ji bade prem se bolti hai ki suryoday ho gaya hai, jaldi se teyar ho ja ,Krishna ki maiya ki daasi tujhe lene aa jaayegi.
Vrishbhanu dulari apni aankho ko kholti he, jahaan dekhati he vahaan- vahaan shyam sunder dikhai dete hai, ro- ro kar apne pritam ko pukarti he, prem bhari baate karti hai, tab hasne lagti hai,sarmane lagti he, jab hos aata he ki mere pyare, mere paas nahi he, me keval sapna dekh rahi thi tab fut- futkar rone lagti he tthaa lalita ji se bolti he ki me tumhe bahut tang karti hu n, kya karu me hos me nahi rahti hun?
Lalita ji radha ji ke gharvalon ko unki mun ki dasaa nahi bataai thi,kadam -kadam par kishori ji ko bare prem se sambhalti thi .
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें