Shri Radha, Krishna ki Holi manaane ki Lila
Shri Radha ji ki sakhiyaan boli, hum sabki pyaari sakhi raadhe_ humlogo ki ak baat suno, ye brajbhushan- nandnandan or unke sakha log tumhari barsaana nagri ke bagiche me, holika utsav vihaar karne ke liye aa rahe hein, sobha sampann yovan (javaani) ke mad se mat unke chanchal netr ghum rahe hein, ghungharaale- ghungharaale unke kaale baal, unke kandho or gaalo ko chum rahe hai, sarir par pile rang ka pejaama atyant sundar lag raha he, unke charan kamal se sangitmy nupuro ki aavaaj aa rahi he, unke mastak par savere nikle hua suraj ke prakash ke samaan kaantimaan mukut he, sundar pitaambar or aabhushano se bahut-bahut- bahut sundar lag rahe hein, is dhara par pitaambar pit prabha ke prakash se sushobhit, unka shyam- kaantimandal, usi prakaar utkrisht shobha pa raha he, jese aakash me indr dhanush se yukt meghmandal sushobhit hota he, abir or kesar ke ras se yukt, unka saara ang lipt he, unhone haat me nayi pichakaari le rakhi he holi utsav manaane ke liye ve tumhara hi intajaar kar ra