Shri Krishna ki Sudama Maali par Kripa
Shri Krishna or Balram ji sudama maali ke ghar gye the, tab usne dharti par seer rakhkar pranaam kiya tha, charan kamal pakhaara tha or hath bhi dhulvaya tha, fir fulon ke haaro,paan,chandan aadi se vidhipurvak puja Kiya tha, bolne laga tha ki aap dono ke aane se mera ghar or kul dhany ho gye hai, mera ganam lena safal ho gya he. Aaj me devta,pittar or rishi ke karg se mukt ho gya hun, ye sabhi mujh par param santust ho gye hai
.
Aap sampuran Jagat ke param karan hein,
aap sansaar me abhiyudy_ unnati or nihshreys_ mokksh ke liye apne gyaan,kala aadi anso ke sath prithvi par avatar liye hai yadhpi
Aap prem karne vaalo ko hi prem karte hein, bhajne vaale ko hi bhajte hein_ fir bhi aapki najar me vishamta nahi hai.
Aapki dristi me'sabhi jiv samaan hein, aap samrup se sabhi praaniyon or vastuon me nivaas karte hein, aap sabke param suhrid or sabke aatma hein.
Yah aapka anugrah or purn kripa hoti hai jab aap kisi Ko aagya dekar, kisi kaarya me niyukt karte hai, me aapka daas hun, mere yogya koi seva ho to aagya dijiye,
tab prabhu ka ishaara samajhkar vibhin parkar ke, rang_ birange fulon ke haar banaakar pahanaaye the.
Prabhu bole vardaan maango, tab usne unki param_ prem_ mayi bhakti,bhakto के sath sohaard or sabhi jivo ke prati ahetuk daya ki bhaavna ho, yahi vardaan maanga tha.
Shri Krishna us par, param prasnn hokar, anant kaal tak, rahne vaali dhan_ sampati,aayu,bal,kirti,kaanti or mrityu ke baad apne dhaam jaane ka bhi vardaan de diye the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें