संदेश

Mahotsav After Prabhu avataran लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Krishna Ganam Utsav

Nand ji sunder vastra or aabhusn phankar Brahmano se svastivachan,vedpath, Devgno ttha pitron ki puja krva rahe the.  iske bad unhone Brahmano ko kasturi,kapur or Chandan mila hua Tilak lagakar amulya vastra or aabhusn, iske alava asi Gay dan kar rahe the jiske dudh dene ki ksamta bahut adhik thi. un sabhi ke Peron ko Tambe se, Pith ko Chandi se or singo ko sone se cover kar diya gya. sath hi sath gayon ko Morphank, Fulon or sone ke aabhusn se sajaya gya. Brahmano ke alava gurugno,baro ko bhi vastra or aabhusn dan kar aasirvad le rahe the. Baja bajane vale, Nachne vale, Gane vale ko bhi mnmutabik de rahe the. Gopiyon ne sunder vastra or aabhusn phankar apni apni Gayon ko van ki rangin dhatu geru or ramrj ko ghiskar unke sarir par bhut sunder chitra banai. iske alava Morphank, Fulon ki mala or sone ke aabhusn bhi phanai. Gokul ki saphai kar sugandhit jal ka chhirkav kiya gya., bahut parkar ke sunder sunder Fulon ki mala,rangbirange pataka, amulya vastra,bhanti bhanti ke mnmohak kalash,v