संदेश

yasoda duvara Prabhu ki parvaris लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

yasoda and Krishna

चित्र
Yasoda ji abhillasha karti hein ki kab mera putra ghutno ke bal sarknaa suru karega,  kab chalne lagega,bolne lagega,kab Dudh ke dant dekhungi,kab mujhe maiya ttha apne pita ko Baba bolega,kab thora thora karke khaana suru karega,kab mujhse vibhin parkar ki chige mangega,kab apne haat se khaane lagega,kab haskar mujhse bolega apne lal se bolti hein ki, tu mujh kamgaalini ka Anmol dhan sampati he, pata nahi kis ganam ke punya ke karan kon devta bar bar teri raksha karte hein. kyun Rakshs baarmbar tujhpar aakraman karte he. yesoda maiya parmaatma se hamesha apne lal ke Kalyan ki prathna karti thi jo suyam purn Brahm parmaatma the .

yasoda ji and Krishna

चित्र
Prabhu yasoda maiya se bolte he ki daau mujhse bolte he ki teri maiya ne tujhe kharida he, tabhi to teri maiya gori,tere baba bhi gore hein tu kese kala ho gya he. Sab log mera majak urate hein sath hi sath nachhate bhi hein, isiliye me baahar khelne nahi jana chahata hu . tu sada mujhe hi Marti or datti he. daau ko kabhi n to datti he n hi Marti he. yasoda ji bolti hein ki Balram ganam se hi chugalkhor ttha Dhurt he. me Gayon ki kasam khakar bolti hun ki tu mera hi lal he  .

yasoda ji and Krishna

चित्र
Yasoda ji Prabhu ko chalna sikhati hein, larkharane par dono haat pakar leti hein, sath hi sath bolna bhi sikhati hein. mukh se mukh sataakar baat karne par Prabhu apni maiya ki naak pakar lete the. yasoda duvara ubtan lagate samay, malish karte samay, nahalaate samay, teyar karte Krishna ji khud ko chhurane Ka pryatn karte the. makhan ke liye kabhi Dahi mathne vali mathaani pakar lete the to kabhi choti or mala pakar lete the. ak din dono bhaiyon ne milkar yasoda ji ki choti khol diyein or motiyon ki Mala ko tor diye the.