Golok part five
Radha ji ka pradhaan duvar Mani Ratno se bana hua tha, vahaan do vedikayein thin jo bahumulya Mani or Hire se bani hui thi. ratn nirmit kivaar us duvar ki sobha badhaate the. kivaar par bahut bahut sunder anek chitra bana hua he. pahale duvaar par virbhanu ji duvaarpaal the,dusre duvaar par Chandra Bhanu,tisre duvaar par Surya Bhanu duvaarpaal the,chothe duvaar par vasu bhanu,panchve duvaar par dev bhanu,chhate duvaar par shakra bhanu,satve duvaar par Ratn Bhanu duvaarpaal the,aathave duvaar par suparshrav,nave duvar par subal,dasve duvar par sudama duvaarpaal the,gyarahav duvaar par shridama the,ye sabhi bahumulya Divya vastra or Mani Ratno se bane jewelry pahane hua the. in sabhi duvaarpaalon ki seva karne ke liye anek sevak the. durlabh chigo se bane hua sinhahaasn par ye log viraajmaan hote hein. barah duvar se lekar solve duvar tak Radha ji ki daasiyaan paharaa de rahi thi, ye sabhi amulya vastra or aabhusan pahane hua thi. ye sabhi sundartaa ki praakasthaa se bhi pare sundar thi.