Golok part six

Solva duvaar par Mani Ratno se bani hui anek vedikaayan thi. Indra nil mani or laal rang ki mani se nirmit bahut sare khambhe the, bahut bahut sunder vandanvaar lagaayaa gya tha, kivaar par anek Manohar chitra bane hua the. sabhi Bhavano ke bich me mantramugdh,durlabh isthaan,jiski sundarta ke liye sabd hi nahi he,pramaanand dene vala Mahal tha. hire or mani se nirmaan kiya hua anek istambh tha. paarijaat puspo ki maalaon ki jhaalaro se sajaya gya tha. Moti, Maanikya, Ratan, Darpan or suvet chanvar ke bane bahut sare Mangal kalash the. resmi sutra me gunthe hua Chandan palavon ki vandanvaar se istambho ko sajaya gya tha. sugandhit dravon se chhirkaao kiya gya tha. suvet dhaanya,munga,fal,akshat,durvadal or suvet pusp the. Ratno se nirmit bed par Divya, Komal or sukshm vastra bichhaa hua tha. tino lokon me durlabh sukh suvidhaa ,sajaavat or bahumulya padhaartho ka bhandaar tha. sab taraf sangitmya vaataavaran banakar radhe krishn ki istuti ki ja rahi thi. Radha Krishna ka Ratno se bana Vishal sinhahaasan tha, jisme bahut chhote chhote atyant sunder Mangal kalash nirmit the, jo chaaro or se mandlaakaar dikhaai deta he.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4