Daamodar Lila little Krishna story

Shri Yasoda ji ko Makhan nikaalne ka sabhi kaam_ Dudh duhane se lekar, Dudh otne,joran daalkar dahi jamaana,jame dahi ko mathkar makhan nikaalna ka sara karya ghar me akele karne ka avasar hi nahi mil paata tha, chunki Ghar me anek Nokraaniyan thi, iske alaava Shri Rohini ji ke Prem- Aagrah se vivash hokar makhan nikaalne ke kaam me sahaaytaa leni parti thi. aaj moka milne ki vagah se, Subha- Subha teyaar hokar makhan nikaalne ka kaam suru karti hein. tan se Prabhu ke liye Navnit nikaal rahi hein,man se chintan kar rahi hein, vaani se pahale ki hui lilaon ko gaa rahi he_ is parkaar tan-man-vaani tino se shri Krishna ko yaad kar rahi hein. jo suyam parmesvar ka avatar he. jab koi tan,man,vaani se parmaatma ko yaad karta he ve jag jaate hein, isiliye kanha bhi uth gye the. makhan khaane ke liye machalne lage the. apna kaam chhorkar yasoda ji apne laal ko dudh pilaane lagati he. achaanak yasoda ko dhyaan aata he ki me chulhe me dudh garam karne ke liye rakhi hui thi, kahin vo nast n ho gya ho, nahi to laakho gaayon ke bich chhati gaay ka dudh Kanhaiya ko kese pilaa paaungi, jo bahut-bahut suvaasth laabh pahuchaata he, iske alaava yah bhi bolaa jaata he ki dudh jalne par chhote bache ki aayu ghat jaati he, isiliye yasoda ji apne laal ko aadhaa pet dudh pilaakar Rasoi ghar me dudh sambhaalne chali gayi thi. Prabhu ko apni maiya par atyadhik krodh aaya ki mujhe atript chhorkar apna karya karne chali gayi he. gusse me Lodhe se, us bartan ko tor dete hein, jisme yasoda ji dahi math rahi thi. dahi ki dhaara me bane Charan chinho ka anusaran karte hua pataa lagaa li ki Krishna Bhandaar- Ghar ke aage ke darvaaja se parvesh karke pichhe ke duvaar se Bagiche me gya he, jahaan jaakar dekhati hein, kanha Bandaro ko Makhan khilaa raha he. achaanak vaanro ke bich halchal dekhkar, Prabhu ke duvaara chaaro taraf dhekne par apni Mata par najar parti he. jese hi dristi maiya ki or jaati he vese hi prabhu tej gati se bhaagna praarambh karte hein aage- aage shri Krishna pichhe- pichhe yasoda ji Prabhu ka pichaa karti hein. is Bhandaar ghar me Atithiyon ki sevaa or Narayan ko bhog lagaane ke liye makhan sanchay kiya gya tha.
https://youtu.be/KACvkbcFEJ0

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4