संदेश

अगस्त 29, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Varun-Lok se Nand ji ko Chhuraane ki lila

चित्र
Govardhan Utsav Pratipada ke din sampann hua tha, iske baad saat dino tak Indr Dev duvaara musaldhaar varsa kiye the  Sukl paksh ki navmi bit jaane par,  Shri Krishna ke paas Indr Dev maafi maangne aaye the , iske dusre din ekadashi thi. Nand ji ekadasi ka upvaas kiye the or agle din daadasi ko bahut savere yamuna nadi me, surj ugne se pahale nahaane chale gye the, galti se ve aasuri samay me nahaane chale gye the, isiliye Varun Dev ke sevak prabhu ke pita ko bandi bana liye the. Jab Shri Krishna ko pata chala ki Varun Dev ke daas mere pitaji ko bandi banaakar lekar gaye hein, tab Shri Krishna or Balram ji dono Bhai Varun lok gye the. Varun Dev pahale Govind ki Istuti karte hain fir apne nokar ki galti ke liye maafi maangte hein. Nandji ne vahaan par, lokpaal ke adbhut asvarya or dhan-sampati ko dekhe the sath hi sath unhone yah bhi dekha ki vahaan ke nivaasi, jhuk-jhukar, unke laadle ko pranaam kar rahe hein unhe bara aaschary hua, unhone vrindavan

Govardhan Parvat story

चित्र
Pulsty Krishi Govardhan Parvat ki sundarta par aakarsit hokar, apne sath, apni hateli me rakhkar, kaashi, le jaana chaahe to, Giriraaj ji ne sart rakhe the ki aap jis isthaan par, mughe rakhenge me usi isthaan par isthaapit ho jaaunga. Muni sart ko suvikaar kar liye the, raaste me Vrindavan ka marg aa raha tha, is parvat ne socha ki Shri Krishna bhagwan ka Avatar hone vaala he, Prabhu yahaan par bhi lila karenge, agar me yahaan rahunga, tabhi mughe Shri Krishna ka sang milega, yah vichaar karke, giriraj ji ne apne bhaar me vridhi kar liye the, jise krishi sahan nahi kar paaye, unhone vrindavan ki dharti par hi govardhan ko rakh diye the. Ve samagh gaye the ki Govardhan parvat ne jaan bhujhkar apne aapko bahut jyaada bhaari banaa liye hein, atha unhone is parvat ko, pratidin, ak muthi ghatne ka abhisaap diye the. Govardhan Parvat ka aadha bhaag UP or aadha bhaag Rajasthan me parta he. In rajyon ki seema ke bich me Durga Mata ka Mandir parta he. Yahaan se kuchh hi duri par isthit he Puch