संदेश

मई 2, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri Krishna ki kaliya naag par kripadristy

Kaliya naag ke nivaas isthaan vala kund is naag or iske parivaar ke sadasyon ke karan, jahrila ban gya tha, jiski vagah se isme laal,pili vibhin rango ki bhayankar tarange uth rahi thi. iska pani hamesha kholtaa rahta tha. Shri Krishna jab apne mitron ki budhi ko apne anusaar karke, kaliya naag ke kund vaale jagah me kude, tab jal gol-gol ghumkar atyadhik unchaai tak uchhalaa tha. Prabhu isme khelne lage the. dono hatho se pani ko uchhaalte the, to kabhi pero se jal ko hilaate the, jiske karan avaaj ho rahi thi, jise sunkar kaliya naag ki patniyaan bahar aayi thi. kroro kamdev ki sundarta se badhkar Shri Krishna ki sundarta ko dekhkar, ye sab ki sab, hos khokar bahut der tak Prabhu ko nihaarti rahi thi. chetna aane par apne isthan se is kund se Prabhu ko bahar nikalne ke liye bolne lagi thi. shri Krishna duvaara bhujaaon or pad sanchaalan ke karan ak sath hi anek aavart ban gye the. jal ki Tarange paraspar takra rahi thi. upper ka jal ka hissaa nichhe tal ki taraf or tal ka jal upper k

Shri Krishna and Kaliya -Naag

Jab Shri Krishna dekhe ki Kaliya Naag ke vish ke parbhaav se, iske upper se hokar gujarne vaale Pakshi turant mar jaate the. iske sampark me aane vaali vaayu jaharili ban jaati thi, jiske paas yah havaa jaati thi, usko mrityu ko goud me sula deti thi. iske chaar kos tak ki dharti ki bahut buri dashaa ho gayi thi. iska keval thirty percent hissaa hi kaam aata tha isliye Prabhu apne Pitaamber ko kamar me baandh lete hein, taal thokkar, kaliya naag ke nivaas vaale kund me kud jaate hein.

Shri Krishna ki kaliya naag par kripa

चित्र
Ak din Shri Krishna apne Mitron ke sath Gaayein charaane ke alava khel bhi rahe the. Dhenuan Ghaas kha rahi thi, Achaanak un gaayon ki dristi bahut dur ugi hui trin par najar gayi, jo dekhane me khaane ke anukul lag rahi thi, jise khane ke laalach me gaayein dristigochar hone vaali ghaas ko khaane gayi thi. aage isase bhi suvadist ghaas ke lobh me gaayein saghan van ki taraf jaane lage thi . aage- aage gaayein bhaagi jaa rahi hein pichhe- pichhe Gop Baalak bhaage jaa rahe the  Kanhaiya bole ki bhaago nahi, Gaayon ko chaaro taraf se gherkar pakra ja sakta he. dorte dorte dono kaaliya naag ke kund ke paas aa gye the, jo Yamuna nadi ka kund  tha. pyaas lagne par jahrila pani pilkar dono mar gye the. Shri Krishna sochate hein ki ab tak mere mitr kiyun nahi aaye hein? mughe jaakar avasya dekhana Chahiye, kaaran ka pataa lagaana chaiye. Shri Krishna chalte- chalte apne sathiyon ke nikat aa jaate hein. sabko achet dekhakar samagh gye ki in logo