Shri Krishna ki kaliya naag par kripadristy

Kaliya naag ke nivaas isthaan vala kund is naag or iske parivaar ke sadasyon ke karan, jahrila ban gya tha, jiski vagah se isme laal,pili vibhin rango ki bhayankar tarange uth rahi thi. iska pani hamesha kholtaa rahta tha. Shri Krishna jab apne mitron ki budhi ko apne anusaar karke, kaliya naag ke kund vaale jagah me kude, tab jal gol-gol ghumkar atyadhik unchaai tak uchhalaa tha. Prabhu isme khelne lage the. dono hatho se pani ko uchhaalte the, to kabhi pero se jal ko hilaate the, jiske karan avaaj ho rahi thi, jise sunkar kaliya naag ki patniyaan bahar aayi thi. kroro kamdev ki sundarta se badhkar Shri Krishna ki sundarta ko dekhkar, ye sab ki sab, hos khokar bahut der tak Prabhu ko nihaarti rahi thi. chetna aane par apne isthan se is kund se Prabhu ko bahar nikalne ke liye bolne lagi thi. shri Krishna duvaara bhujaaon or pad sanchaalan ke karan ak sath hi anek aavart ban gye the. jal ki Tarange paraspar takra rahi thi. upper ka jal ka hissaa nichhe tal ki taraf or tal ka jal upper ki taraf aa raha tha. Prabhu kaliya naag or sathiyon ke nivaas isthaan ko bahut buri tarah se nast kar diye the, jiske karan bhayankar dhvani hui thi, aavaj sunkar soya hua kaliya naag jaag gya tha.  krodhit hokar bahar nikalkar usne shri Krishna ko dekha, Prabhu ki nirbhayataa ne uske gusse me vridhi kardi thi.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4