संदेश

Prabhu ganam Nakshtra or karvat lena ka utsav लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

kakasur or Utkach asur ka Uddhar

Antriksh me vayu ke jese bhahut bhahut tej aavaaj hui. kans ke sathiyon ke duvara dhayan se dhekhane par malum hua ki yah to Maharaj kans ka Mitra Utkach he, jo kakasur ki baat sunker khil khilakar has raha tha. kuchh samay pahale kakasur Prabhu ko marne ke liye gya tha, khud ko hi jaan gvani pari . ant samay me usne Krishna ki Mahima ke bare me kans ko bataya tha. aaj Prabhu ka Ganam Nakshtra or karvat lena ka utsav ho raha tha. yasoda ji Prabhu ko belgari ke niche rakhe hua palne par sula deti hein, khud Rohini ji ke sath sath atithiyon ka suaagat karne me lag jati he. Utkach belgari  me prvesh kar jata he. Prabhu ko dabakar marne ki sochata he, tabhi Bhagavan bhukh se rona suru kar dete hein. Utkach sochata he ki iski aavaaj sunker dabne se phale koi ise utha n le, isiliye vah jaldi jaldi, jor jor se dabane lagata he taki Prabhu dabkar mar jayein, aachanak Prabhu apne Charan Kamal se belgari ko bhahut upper tak uchhalte hein, jiski vagah se utkach asur mar jata he, sath hi sath belg

kakasur or Utkach asur ka Uddhar

Hirnyaksh  putra Utkach Lomash Sant ke aasharam ke bhahut se vrikshon ko nast kar diya, tab gussa hokar sadhu use abhisap dete hein ki tu is deh se rahit ho ja. jab utkach ne kshma manga to Rishi ne kha ki Bhagavan Vishnu jab Krishna avatar lenge tab unke Kamal Charan ke chhuan se tera Uddhar ho jayga. isi parkar kakasur ko bhi kisi ke duvara abhisap or mafi ke liye prathna karne par Prabhu ke duvara Uddhar hone ka vardan diya gya tha.