kakasur or Utkach asur ka Uddhar

Antriksh me vayu ke jese bhahut bhahut tej aavaaj hui. kans ke sathiyon ke duvara dhayan se dhekhane par malum hua ki yah to Maharaj kans ka Mitra Utkach he, jo kakasur ki baat sunker khil khilakar has raha tha. kuchh samay pahale kakasur Prabhu ko marne ke liye gya tha, khud ko hi jaan gvani pari . ant samay me usne Krishna ki Mahima ke bare me kans ko bataya tha. aaj Prabhu ka Ganam Nakshtra or karvat lena ka utsav ho raha tha. yasoda ji Prabhu ko belgari ke niche rakhe hua palne par sula deti hein, khud Rohini ji ke sath sath atithiyon ka suaagat karne me lag jati he. Utkach belgari  me prvesh kar jata he. Prabhu ko dabakar marne ki sochata he, tabhi Bhagavan bhukh se rona suru kar dete hein. Utkach sochata he ki iski aavaaj sunker dabne se phale koi ise utha n le, isiliye vah jaldi jaldi, jor jor se dabane lagata he taki Prabhu dabkar mar jayein, aachanak Prabhu apne Charan Kamal se belgari ko bhahut upper tak uchhalte hein, jiski vagah se utkach asur mar jata he, sath hi sath belgari ke upper rakha hua Makhan, Dahi, Ghee aadi ke bartan tut jate hein, jiski aavaaj sunker sabhi log bhage bhage aate hein. yasoda ji Prabhu ko pakar leti he. ve log sochate hein ki belgari ki haalt ase kese ho gayi. kuchh balkon ne bataya ki Krishna ne hi belgari ko bhahut upper uchhale the, par kisi ne bhi unper visvas nahi kiya. yasoda ji Prabhu ke Kalyan ke liye Brahmano se svastivachan,vedpath tha Narayan kavach ka path karvati hein.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4